Is K Gham Ko Gham-E-Hasti Too Mere Dil Na Bana. Zeest Mushkil Hai, Isay Aur Bhi Mushkil Na Bana

Poet Hamaayat Ali Shaayr

Collection Uroosa Emaan

Is K Gham Ko Gham-E-Hasti Too Mere Dil Na Bana.

Zeest Mushkil Hai, Isay Aur Bhi Mushkil Na Bana.

Too Be Mehdood Na Ho, Mujh Ko Be Mehdood Na Kar

Apne Naqsq-E-Paa Ko Meri Manzal Na Bana.

Aur Barrh Jaye Ge Werani-E-Dil, Jaan-E-Jahan

Meri Khalowat-E-Gaah Khamosh Ko Mehfal Na Bana.

Dil K Har Khail Mein Hota Hai Bohat Jaan Ka Ziyaan

Isaq Ko Isaq Samjh Mashgala-E-Dil Na Bana.

Phir Meri Aass Banrrah Kar Kar Mujhe Mayoos Na Kar.

Hasil-E-Gham Ko Khizrara Gham-E-Hasil Na Bana...................*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo