Jee Dekha Hai Mar Dekha Hai, Hum Ne Sab Kuch Kar Dekha Hai,


Poet Habeeb Jalib

Jee Dekha Hai Mar Dekha Hai,

Hum Ne Sab Kuch Kar Dekha Hai,

Barg-E-Aawara Ki Soorat,

Rang-E-Khushak-O-Tar Dekha Hai,

Thandi Aahein Bharne Walo,

Thandi Aahein Bhar Dekha Hai,

Teri Zulfon Ka Afsana,

Rat K Honton Par Dekha Hai,

Apne Deewano Ka Aalam,

Tum Ne Kab Aa Kar Dekha Hai,

Anjum Ki Khamosh Fizaa Mein,

Main Ne Tumhain Aksar Dekha Hai,

Hum Ne Is Basti Mein JALIB,

Jhoot Ka Oncha Sir Dekha Hai*.*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo