Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai


Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai

Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai

Main tujhse door kaisa hon,tu mujhse door kaisi hai?

Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai

Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani hai

kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai

Yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aansoo hai

Jo tu samjhe to moti, jo na samjhe toh paani hai

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta

Yeh aasuu pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le

Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama

Humare dil mein koi khuwaab pal baitha to hungama

Abhi tak doob kar sunte the sab qissa mohobbat ka

Main qisse ko haqeeqat mein badal baitha to hungama

Bohat bikhra bahut toota thapere seh nahi paaya

Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya

Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka qissa

Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya

Main uska hon wo is ehsaas se inkaar karta hai

Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai

yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin

Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain

Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain

Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain

Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain

DR.KUMAR VISHWAS

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai