Zameer-E-Aalim-E- Insani'yat Khabar Hai Tujhe, Sharaar-O-Shaulla Ki Zad Main Hai Wadi-E- Kashmir,

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat

Poetess: Noshi Gillani

Type By
*._.Murtaza._*

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat Khabar Hai
Tujhe,

Sharaar-O-Shaulla Ki
Zad Main Hai Wadi-E-
Kashmir,

Tujhe Khabar Hai Ke
Jannat Nishan Hai Ye
Wadi,

Lahoo Lahoo Hui Jati
Hai Dast-E-Qatil Se,

Jahan Yeh Roshni
Khushboo Bikhairti
Thi Kabhi,

Wahan Pe Khak Hui
Ja Rahi Hai Aazadi,

Woh Phool Ugaati
Zameen Aur Geet
Gaati Zameen,

Wafa Ke Rang
Mohabbat Se
Muskuraati Zameen,

Ke Jis Ke Khawab Bhi
Roshan, Nigaah Bhi
Roshan,

Ke Jis Ke Raaste Dil
Se Guzar Ke Jate Hain,

Woh Dilfaraib, Dil
Aaweez, Dilrubaa
Manzar,

Guzarne Waloon Ke
Dil Main Utar Jate
Hain,

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat Khabar Hai
Tujhe,

Sharaar-O-Shaulla Ki
Zad Main Hai Wadi-E-
Kashmir,

Tujhe Khabar Hai Ke
Jannat Nishaan Ye
Wadi,

Lahoo Lahoo Hui Jati
Hai Dast-E-Qatil Se,

Yeh Dast-E-Qatil
Wafa Jitna Barrhtaa
Jaa'ega,

Tere Waqaar Ki
Gardan Talak Bhi
Aa'ega,

Zameer-E-Aalim-E-
Insani'yat Sanbhaal
Ose,

Sharaar-O-Shaulla Ki
Zad Main Hai Wadi-E-
Kashmir...................!

Book Name
Udass Hone Ke Din
Nahi Hain
Page No, 105-106

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai