Haan Main ghareeb ka beta hon Zindagi ko sitam main kehta hon


Haan

Main ghareeb ka beta hon

Zindagi ko sitam main kehta hon

Majbooriyon me bhi khush rehta hon

Chand boondon se pait bhar leta hon 

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Thand mein thithar leta hon

Barsaat mein bheeg leta hon

Garmi paaon jalaati hai

Toh Pathron pe main so leta hon

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Kabhi sabzi, to kabhi kuch na milay, Namak

roti pe main jee leta hon

Zakham chahay jaisa bhi ho

Thori haldi main laga leta hon

Kyun ke

Main ghareeb ka beta hon

Ek kameez, ek patloon

Roz bina sabun

main dhota hon

Bari dukaano ki ronak dekh

Aksar khush main ho leta hon

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Gham bhi bohot hai

Dard bhi hai

Dil mein sab dabaa leta hon

Kabhi akelay, to kabhi sab k samnay

Aankhon se angootha bhigo leta hon

Kyun ke Main ghareeb ka beta hon


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo