Halat-E-Haal Mein Kya Ro Ke Sunaau'n Tujh Ko? Tu Nazar Aaye Toh Palko'n Pe Bithaau'n Tujh Ko


Halat-E-Haal Mein Kya Ro Ke Sunaau'n Tujh Ko?
Tu Nazar Aaye Toh Palko'n Pe Bithaau'n Tujh Ko

Khud Ko Iss Hosh Mein Madhosh Banaa Ne Ke Liye
Ayat-E-Husn Parrhu'n Dehkta Jaau'n Tujh Ko

Ab Mera Ishq Dhamaalon Se Kahin Aagey Hai
Ab Zaroori Hai Keh Mein Wajd Mein Laau'n Tujh Ko

 

حالتِ حال میں کیا رو کے سناؤں تجھ کو
تو نظر آئے تو پلکوں پہ بٹھاؤں تجھ کو

خود کو اس ہوش میں مدہوش بنانے کے لئے
آیتِ حسن پڑھوں دیکھتا جاؤں تجھ کو

اب میرا عشق دھمالوں سے کہیں آگے ھے
اب ضروری ھے کہ میں وجد میں لاؤں تجھ کو


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai