Tu k na waqif-e-Adab-e-gulami hai abhee RAQS zanjeer pahen kar bhee kia jata hai


Tu k na waqif-e-Adab-e-gulami hai abhee
RAQS zanjeer pahen kar bhee kia jata hai

Aaj qatil ki hae marzi , k sarkash larki
sar-e-maqatil tujhay koron se nachaya jae
maut ka raqs, zamanay ko dikhaya jae
is tarahan zulm ko nazarana dia jata hai
raqs zanjeer pahin kar bhee kia jata hai

daikh fariyad na kar ,sar na jhuka paoon utha
kal k Jo log karain gay to abhee se kar ja
nachtay nachtay aazadi ki khatir mar ja
manzil-e-ishq main mar mar k jiya jata hai
raqs zanjeer pahin kar bhee kia jata hai

A VERY FAMOUS POEM OF,HABIB JALIB


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo