Waldah Marhooma Ki Yaad Main Kis Ko Ab Hoga Wattan Main Aah! Mera Intizaar, Kon Mera Khatt Na Aane Se Rahegaa Beqaraar,


Waldah Marhooma Ki
Yaad Main
Poet:Allama Muhammad
IQBAL
Type By
*._.Murtaza._*
Kis Ko Ab Hoga Wattan
Main Aah! Mera Intizaar,
Kon Mera Khatt Na
Aane Se Rahegaa
Beqaraar,
Khak-E-Marqad Par
Teri Le Kar Yeh
Fariyaad Aa'oonga,
Ab Dua'a-E-Neem
Shab Main Kis Ko Main
Yaad Aa'oonga,
Tarbeeyat Se Teri
Main Anjam Ka Hum
Qissmat Huaa,
Ghar Mere Ajdaad Ka
Sarmaa-E-Izzat Huaa,
Daftar-E-Hassti Main
Thi Zareen Waraq
Teri Hayaat,
Thi Saraapa Deen-O-
Dunia Ka Sabaq Teri
Hayaat,
Umar Bhar Teri
Mohabbat Meri
Khidmat Gar Rahee,
Main Teri Khidmat Ke
Qabil Jab Huaa, Tu
Chal Bassi,
Woh Jawan, Qaamat
Main Hai Jo Soorat-E-
Sar-O-Buland,
Teri Khidmat Se Huaa
Jo Mujh Se Barrh Kar
Behar Mand,
Karobaar-E-Zindagani
Main Woh Hum Pehlu
Mera,
Woh Mohabbat Main
Teri Tassveer, Woh
Bazoo Mera,
Tujh Ko Masl-E-Taflak
Be Dast-O-Paa Rotaa
Hai Woh,
Sabar Se Na Aashnaa
Shubha-O-Massa Rota
Hai Woh...........!
Book Name
Bang-E-Dara

Page 77-78
Se Intikhab

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo