Har ek rooh mein ek gham chhupaa lage hai mujhe


Poet:Jan Nissar Akhtar

Har ek rooh mein ek gham chhupaa lage hai mujhe 

ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe 

main so bhi jaaon to meri band aakhon mein 

tamaam raat koi jhaankta lage hai mujhe 

main jab bhi us ke Khayaalon mein kho sa jata hon 

wo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe 

main sochta tha keh lautonga ajnabi ki tarah 

ye mera gaaon to pahchaana sa lage hai mujhe

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein