Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon


Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon

Kaash Main Bhi Kubhi So Ker Dekhoon

Shayed Ubhray Teri Tasveer Kaheen

Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon

Issi Khwahish Mein Mitta Jaata Hun

Tere Paon, Teri ThoKer Dekhoon

Ashk Hain , Vehm Ki Shabnam , K Lahoo

Apni Palkain Tou Bhigo Ker Dekhoon

Kesa Lagta Hai Bichhar Ker Milna

Main Achanak Tujhe Kho Ker Dekhoon

Ab Kahaan Apne Girebaan Ki Bahaar

Taar Mein Zakhm Pirro Ker Dekhoon

Mere Hony Se Na Hona Behtar

Tu Jo Chahay , Tera Ho Ker dekhoon

Rooh ki Gardd Se Pehlay MOHSIN 

Daagh-e-Daman Ko Tou Dho Ker Dekhoon..!!


Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein