Mujhe darya nahi likhna mujhe sehra nahi likhna Tasalsul se safar main hoon mujhe thehra nahi likhna


Mujhe darya nahi likhna mujhe sehra nahi likhna

Tasalsul se safar main hoon mujhe thehra nahi likhna

Purane rabton ki rakhh ab tak dil main baqi hai

Meri jalti hatheli par nya wada nahi likhna

Ana se jeet kar usko agar jo main ne khoya hai

Mera noha nahi likhna mera naghma nahin likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhri sarhad pe khara hoon

Mujhe fateh nahi likhna, mujhe muhra nahin likhna

Tumhrai aankh main gar main kabhi chup chap jal jaoon

Tum apni aankhon main lekin mera sadma nahin likhna

Gawahi apne dil se lo tumhara dil kia kehta hai

Mujhe jhoota nahi likhna, mujhe saccha nahin likhna

Main uski yad main gum hoon ke apne aap main gum hoon

Mujhe mehfil nahi likhna,, mujhe tanha nahin likhna

Main apnay lafzon se shuhrat tumhain de jaonga ik din

Mujhe mash-hoor na karna, mera charcha nahin likhna

Ye na ho tum kabhi usko mitana chaho,, na mitte

Mujhe apna samjh lena,, magar apna nahin likhna

Meri aankhon main batain hain magar chehre pe gehri chup

Meri aankhain to likh dena, mera chehra nahin likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jae

Mera dukh dard likh dena,, magar gehra nahin likhna

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo