Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana


Nida Faazli
Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
Kabhi shaam
Tu nahin hai magar phir bhi tu saath hai
Baat ho koi bhi teri hi baat hai
Tu hi mere andar hai, tu hi mere baahar hai
Jab se tujhko jaana hai, maine apna maana hai
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
Raat din ki meri dilkashi tumse hai
Zindagi ki kasam zindagi tumse hai
Tum hi meri aankhen ho sooni tanha raahon mein
Chaahe jitni doori ho, tum ho meri baahon mein
Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana
Kabhi shaam dhale
Kabhi chaand khile
Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana
Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo