Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda Shaam Ke Baad


Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali
Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda Shaam Ke Baad

Din Ajab Muthi Main Jakray Rehta Hai Mujhay
Mujh Ko Is Baat Ka Ehsaas Hota Hai Shaam K Baad

Koi Bhoola Hua Ghum Hai Jo Musalsal Mujhko
Dil K Paataal Say Deita Hai Sada Shaam K Baad

Maar Deta Hai Ujad Jane Ka Dohra Ehsaas
Kaash Ho Koi Kisi Say Na Juda Shaam Ke Baad

Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Shaam Ke Baad
Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Shaam Ke Baad

Aankh Ban Jaati Hai Sawan Ki Ghata Shaam Ke Baad
Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Shaam Ke Baad

Aahain Bharti Hai Shab Yateemon Ki Tarha
Hawa Her Roz Ho Jaati Hai Sard Shaam K Baad

Shaam Tak Qaid Raha Karte Hai Dil Ke Andar
Dard Ho Jaate Hai Saare Riha Shaam Ke Baad

Log Thak Haar K So Jaatay Hain Lekin
Hum Nay Khushi Say Saha Tera Her Dard Shaam K Baad

Shaam Tak Laakh Sulaaye Rakhain Magar
Jaag Uthti Hai,Mohabbat Ki Anaa Shaam K Baad

Khwab Takra Ke Palat Jaate Hai Band Aankhon Say
Jaane Kis Jurm Ki Kisko Hai Saza Shaam Ke Baad

Chaand Jab Ro K Sitaaron Say Galay Milta Hai
Ik Ajab Si Hoti Hai Fiza Shaam K Baad

Main Nay Tanhaayi Say Pocha Milo Gi Kab?
Us Nay Be_Chaini Say Yehi Kaha Shaam K Baad

Tum Jab Say Gaye Ho Siyaah Rang Pehnay
Udaasi Meray Ghar Main Phirti Hai Shaam K Baad

Itna To Hota Nahi Khandir Shaam Ke Baad
Jitna Veeran Hua Jaata Hai Ghar Shaam Ke Baad

Toot Padti Ahi Nayi Roz Khabar Shaam Ke Baad
Waqt Hota Hai Azabon Mein Basar Shaam Ke Baad

Meri Aankhon Se Baraste Hue Daryaon Mein
Doob Jaati Hai Teri Reh-Guzar Shaam Ke Baad

Gher Lete Hai Mujhe Raaste Teri Yaadon Ke
Jab Bhi Karta Hoon Tere Baad Safar Shaam Ke Baad

Din Bhi Veeran Hi Guzarta Hai Hamara Lekin
Aur Badh Jaata Hai Veerani Ka Dar Shaam Ke Baad

Hijar Ke Saaye To Har Roz Hi Aa Jaate Hai
Kya Kabhi Hoga Tumhara Bhi Guzar Shaam Ke Baad

Laut Aaye Kisi Roz Wo Awara Mijaaz..!
Khol Rakhte Hai Isi Aas Par Dar Shaam Ke Baad

Mujh Ko Har Roz Hota Hai Yeh Guma Sham K Bad
Aaj Har Haal Mein Jal Jaye Gi Jaan Sham K Bad

Rat Bhar Gum K Musalay Pay Para Rehta Hoo
Hijar Deita Hai Jab Bhi Teri Azaan Sham K Bad

Be-Qarari Ksi Aari Ki Tara Katti Hai
Taray Beimar Ko Ab Chain Kahan Sham K Bad

Aaj Ka Din Bhi Guzaar Aaya Hoo Kin Logo Mein
Aur Barh Jata Hai Ehsas_E_Zia Sham K Bad

Aik To Pehlay Hi Barbad Hai Dil Phir Is Par
Aan Parta Hai Koi Baar_E_Gira Sham K Bad

Aisi Barbadi Deki Na Hogi Kabhi Tum Nay
Na Koi Raakh, Na Shola, Na Dhuwan Sham K Bad

Is Tarha Hoti Hai Barish Koi Andr Andr
Jaisay Rota Hai Koi Cchup K Yahan Sham K Bad

Jab Ksi Bholay Huway Dukh Pay Nazar Par Jaye
Ashk Ho Jatay Hain Rawaan Sham K Bad

Apni Tasveer Rakhoo Rat Ki Almaari Mein
Koi To Mera Bhi Reh Jaye Nishan Sham K Bad

Neend Aati Hi Naheen Aankho Ki Dehleezo Tak
Khali Reh Jata Hai Aksar Yeh Makan Sham K Bad

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha