Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare


Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare"
Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare"

Bus Is Liye Har Kaam Adhoora Hi Parra Hai"
Khaadim Bhi Meri Qaum K Makhdoom Hain Saare"

Ab kon Mere Paaon Ki Zanjeer Ko Kholay"
Haakim Meri Basti K Bhi Mehkoom Hain Saare"

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Houn Ab Tak"
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare"

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare.

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai