Sar-e-Sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai Main Chalta Hon Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rehta Hai



ﺳﺮِ ﺻﺤﺮﺍ ﻣﺴﺎﻓﺮ ﮐﻮ ﺳﺘﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
ﻣﯿﮟ ﭼﻠﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻣﺠﮭﮯ ﭼﮩﺮﮦ ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
.
ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﻇﺮﻑ ﮨﮯ ﺗﻢ ﮐﻮ ﻣﺤﺒﺖ ﺑﮭﻮﻝ ﺟﺎ ﺗﯽ ﮨﮯ
ﮨﻤﯿﮟ ﺗﻮ ﺟﺲ ﻧﮯ ﮨﻨﺲ ﮐﺮ ﺑﮭﯽ ﭘﮑﺎﺭﺍ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
.
ﻣﺤﺒﺖ ﺍﻭﺭ ﻧﻔﺮﺕ ﺍﻭﺭ ﺗﻠﺨﯽ ﺍﻭﺭ ﺷﯿﺮﯾﻨﯽ
ﮐﺴﯽ ﻧﮯ ﮐﺲ ﻃﺮﺡ ﮐﺎ ﭘﮭﻮﻝ ﻣﺎﺭﺍ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
.
ﻣﺤﺒﺖ ﻣﯿﮟ ﺟﻮ ﮈﻭﺑﺎ ﮨﻮﺍ ﺳﮯ ﺳﺎﺣﻞ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﻟﯿﻨﺎ
ﮐﺴﮯ ﺍﺱ ﺑﺤﺮ ﻣﯿﮟ ﺟﺎ ﮐﺮ ﮐﻨﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
.
ﺑﮩﺖ ﻟﮩﺮﻭﮞ ﮐﻮ ﭘﮑﮍ ﺍ ﮈﻭﺑﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﮐﮯ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﻧﮯ
ﯾﮩﯽ ﺑﺲ ﺍﯾﮏ ﺩﺭﯾﺎ ﮐﺎ ﻧﻈﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
.
ﺻﺪﺍﺋﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ، ﯾﮑﺴﺎﻧﯿﺖ ﻣﯿﮟ ﮈﻭﺏ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﯿﮟ
ﺫﺭﺍ ﺳﺎ ﻣﺨﺘﻠﻒ ﺟﺲ ﻧﮯ ﭘﮑﺎﺭﺍ ﯾﺎ ﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
.
ﻣﯿﮟ ﮐﺲ ﺗﯿﺰﯼ ﺳﮯ ﺯﻧﺪﮦ ﮨﻮﮞ ، ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﺗﻮ ﺑﮭﻮﻝ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﻮﮞ
ﻧﮩﯿﮟ ﺁﻧﺎ ﮨﮯ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﺩﻭﺑﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ

ﻋﺪﯾﻢ ﮨﺎﺷﻤﯽ

Sar-e-Sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai
Main Chalta Hon Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rehta Hai
Tumhara Zarf Hai Tum Ko Muhabbat Bhool Jati Hai
Hamein Tou Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai
Muhabbat Aur Nafrat Aur Talkhi Aur Shereeni
Kisi Ne Kis Tarah Ka Phool Mara Yaad Rehta Hai
Muhabbat Mein Jo Dooba Hawa Se Sahil Se Kia Lena
Kise Is Bahar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai
Buhat Lehron Ko Pakda Doobny Wale Ke Haathon Ne
Yahi Bas Aik Darya Ka Nazara Yaad Rehta Hai
Sadaaein Aik Si,Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain
Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai
 
Main Kis Tezi Se Zinda Hon,Main Ye Tou Bhool Jata Hon
Nahi Aana Hai Dunya Main Dubara Yaad Rehta Hai
 
( Adeem Hashmi )

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai