Titliyon Kay Mousam Men Nochna Gulaabon Ka Reet Iss Nagar Ki Hai Aur Jaanay Kab Say Hai


Titliyon Kay Mousam Men
Nochna Gulaabon Ka
Reet Iss Nagar Ki Hai
Aur Jaanay Kab Say Hai

Dekh Ker Parindon Ko
Baandhna Nishaanon Ka
Reet Iss Nagar Ki Hai
Aur Jaanay Kab Say Hai

Tum Abhi Naey Ho Na
Iss Liye Pare'shaan Ho
Aasmaa'n Ki Jaanib
Iss Tarhaa Say Mat Dekho
Aafaten Jab Aani hon
Tootna Sitaaron Ka
Reet Iss Nagar Ki Hai
Aur Jaanay Kab Say Hai

Shehar Kay Baashinday
Nafraton Ko Bo Ker Bhi
Intezaar Kertay Hain
Fasal Ho Muhabbat Ki
Chhorr Ker Haqeeqat Ko
Dhoondhna Saraabon Ka
Reet Iss Nagar Ki Hai
Aur Jaanay Kab Say Hai

Ajnabi Hawaa'on Men
Ajnabi Musafir Say
Apnay Her Ta'aluq Ko
Daa'emi Samajh Lena
Aur Jab Bicharh Jana
Maangna Duaa'on Ka
Reet Iss Nagar Ki Hai
Aur Jaanay Kab Say Hai


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha