Wo sahilo’n pe gane wale kya hue wo kashtiya’n jalane wale kya hue


Wo sahilo’n pe gane wale kya hue
wo kashtiya’n jalane wale kya hue

wo subah aate aate rah gai kaha’n
jo qafile the aane wale kya hue

mai’n jin ki rah dekhta hu’n rat bhar
wo raushani dikhane wale kya hue

ye kaun log hain mere idhar udhar
wo dosti nibhane wale kya hue

Emarate’n to jal ke rakh ho gai’n
Emarate’n banane wale kya hue

ye aap ham to bojh hai’n zami’n ka
zami’n ka bojh uthane wale kya

Nasir Kazmi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo