Ajnabi Shehr K Ajnabi Rastay Meri Tanhai Par Muskratay Rahay



Ajnabi Shehr K Ajnabi Rastay
Meri Tanhai Par Muskratay Rahay

Main Bahut Dair Tak Yun Hi Chalta Raha
Tum Bahut Dair Tak Yaad Aatay Rahay

Zehr Milta Raha Zehr Peetay Rahay
Roz Martay Rahay Roz Jeetay Rahay

Zindagi Bhi Hamein Azmati Rahi
Hum Bhi Usay Azmatay Rahay

Zakham Jabbhi Koi Zehn-O-Dil Pe Laga
Zindagi Ki Tarf Ik Dareecha Khula

Hum Bhi Goiya Kisi Saz Kay Tar Hain
Chot Khatay Rahay Gungunatay Rahay

Kal Kuch Aisa Hua Main Bahut Thak Gia
Is Liay Suni Un-Suni Kar Gia

Kai Yadoon K Bhatkatay Huay Karwaan
Dil K Zakhmon Ka Dar Khatkhatay Rahay

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo