Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain



Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain
Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain
Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain
Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain
Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Log Mere Naam Se Jal Jaatay hain

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai