Dost ban kar bhi nahin saath nibhane wala Wohi andaaz hai jaalim ka jamane wala!



Dost ban kar bhi nahin saath nibhane wala
Wohi andaaz hai jaalim ka jamane wala!

Ab use log samajhte hain girftaar mera
Sakht nadim hai mujhe daam mein laane wala!

Subhadam chhod gaya nikhate-gul ki soorat
Raat ko guncha-e-dil mein simat aane wala!

Kya kahen kitne marasim the humare unse
Wo jo ik shakhs hai munh fer k jane wala!

Tere hote hue aa jati thi sari dunia
Aaj tanhan hun to koi nai aane wala!

Muntzir kiska hun tooti hui dehliz par main
Kaun aayega yahan, kaun hai aane wala!

Kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
Hai wohi mujhko sare-daar bhi lane wala!

Maine dekha hai baharon mein chaman ko jalte
Hai koi khwab ki taabeer batane wala!

Tum takaluuf ko bhi ikhlas samjhte ho "Faraz"
Dost hota nai har haath milane wala!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo