Maen bhi kaisey ajeeb hotey hein, Olad se walehana pyar kertey hein, Meri ami bhi mujh se, bohat pyar kertey theen, Mujhey raaj hans bataya kertey theen,



Ammi
My latest poem on 28th march 2017
Maen bhi kaisey ajeeb hotey hein,
Olad se walehana pyar kertey hein,
Meri ami bhi mujh se, bohat pyar kertey theen,
Mujhey raaj hans bataya kertey theen,
Wo hans jo sab hanson ka sardar ho,
Wo jo sab, parindon mein nayaab ho,
Shaid wo tu, merey maan thee, isi lea,
Mujhey, sab kuch dena chahtey thee,
Agar kabhi merey number kam ayen,
tu kehteen, iss ka qasoor nahi ho ga,
qasoor mumtahin ke checking ka ho ga,
Papers ke baad, sarey tawajo mujh pe hoti,
Jo mein dukhey hota, tu wo sahara deteen,
jab bahir jata, tu un ke ankh bahir ko hotey,
Sofa pe laet jatein, thori daer jo ho jatey,
Fon ajaya kerta tha, betey kab ao gae,
Mein tumharey lea intezaar ker rahey hun,
Mein sara waqt gharey dekh reha hota tha,
Merey ami intezaar ker rahey hon gee,
Jo mein na pohanchtaa waqt pe parishan ho jatein,
Aaj in ko beetey, 20 saal guzar gae hein,
Aaj bhi jab jaata hun bahir, sochta hun,
Kash merey ami abbhi mera intezar kertein,
kash wo waqt tham jata, dunya se wo na jateen,
Ami mujh se bohat pyar kertey theen hamesha,
Ammi

Farquleet Mahmood

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo