moj e khushbu ki tarha bat uraney waley tujh me pehle to na thay rang zamaney waley



moj e khushbu ki tarha bat uraney waley
tujh me pehle to na thay rang zamaney waley

kitne heeray meri aankhon se churaey tu ne
chand patthar meri jholi me girane waley

khun baha agli baharon ka tere sar to nahi?
khushk tehni pe naya phool khilane waley

aa tujhe nazar karun apni he sheh rag ka lahu
mere dushman,meri toqeer barhane waley

aasteno me chupaey hue khanjar aye
mujh se yaron ki tarha hath milane wale

zulmat e shab se shikayet unhe kese Mohsin
wo to suraj ke thay aaena dikhane waley

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai