Sun Lo Jo Agar To Ek Baat Kahoon Tere Dil Ko Main Apni qainaat Kahoon



Sun Lo Jo Agar To Ek Baat Kahoon
Tere Dil Ko Main Apni qainaat Kahoon
Basa Kar Tujhe Apni Jism-O-Jaan Mein
Mohabbat Ko Main Apni Hayaat Kahoon
Mat Puchho Aalam Waqt-E-Intezaar Ka
Ek Din Ki Doori Ko Din Saat Kahoon
Yeh Kaisi Deewangi, Kya Be-Khudi Hai
Subah Ko Shaam, DinKo Raat Kahoon
Aa Kar Baith Jao Kabhi Paas Fursat Se
To Dhadkanon Ki tumse Shikayat Kahoon
Likh Diye Hain Saare Armaan Lafzon Ne
Agar Do Ijaazat To Wo Nagmaat Kahoon

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai