jab shab kay shikasta zeenon se mehtab obharnay lagta hai Jab gham kay sard alao main umeedain bujhnay lagti hain



jab shab kay shikasta zeenon se mehtab obharnay lagta hai
Jab gham kay sard alao main umeedain bujhnay lagti hain
jab dil ke shoreeda samandar mein aawazen marne lagti hain
Jab mausam haath nahi aatay jab titli baat nahi karti
jab zinda rehna ik be-ma'ani kaam dekhai deta hai
jan aane wala har lamha dashnaam dekhai deta hai
jab yaad ke gehre san'natay mein chehre gum ho jate hain
jab dard se bujhal aankhon mein gardaab se padne lagtay hain
jab shammain gol ho jati hain 
jab khuwaab bikharne lagtay hain
USS WAQT AGAR TUM AA JAO...........!!!!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai