jis musawir ki nahi bikti koi bhi tasweer Teri tasweer bnaaye ga to chaa jaye ga



ﯾﺎﺩ ﺭﮐﮫ ، ﺧُﻮﺩ ﮐﻮ ﻣِﭩﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ
ﻋﺸﻖ ﻣﯿﮟ ﻋﺠﺰ ﻣِﻼﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ
.
ﺍﭼﮭﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﮯ ﭘُﺠﺎﺭﯼ ﮬﯿﮟ ﻣﺮﮮ ﺷﮩﺮ ﮐﮯ ﻟﻮﮒ
ﺗُﻮ ﻣﺮﮮ ﺷﮩﺮ ﻣﯿﮟ ﺁﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﮬﻢ ﻗﯿﺎﻣﺖ ﺑﮭﯽ ﺍُﭨﮭﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ ﺗﻮ ﮬﻮﮔﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﭽﮫ
ﺗُﻮ ﻓﻘﻂ ﺁﻧﮑﮫ ﺍُﭨﮭﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﭘﮭُﻮﻝ ﺗﻮ ﭘﮭُﻮﻝ ﮬﯿﮟ ، ﻭﮦ ﺷﺨﺺ ﺍﮔﺮ ﮐﺎﻧﭩﮯ ﺑﮭﯽ
ﺍﭘﻨﮯ ﺑﺎﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﺠﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﯾُﻮﮞ ﺗﻮ ﮬﺮ ﺭﻧﮓ ﮬﯽ ﺳﺠﺘﺎ ﮬﮯ ﺑﺮﺍﺑﺮ ﺗﺠﮫ ﭘﺮ
ﺳُﺮﺥ ﭘﻮﺷﺎﮎ ﻣﯿﮟ ﺁﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﭘﻨﮑﮭﮍﯼ ﮬﻮﻧﭧ ، ﻣﺪﮬﺮ ﻟﮩﺠﮧ ﺍﻭﺭ ﺁﻭﺍﺯ ﺍُﺩﺍﺱ
ﯾﺎﺭ ! ﺗُﻮ ﺷﻌﺮ ﺳُﻨﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

ﺟﺲ ﻣﺼﻮﺭ ﮐﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺑِﮑﺘﯽ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﮭﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ
ﺗﯿﺮﯼ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺑﻨﺎﺋﮯ ﮔﺎ ﺗﻮ ﭼﮭﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ

رحمان فارس

yad rakh , khud ko mitaye ga to chaa jaye ga
ishq main ijz milaye ga to chaa jaye ga
achi aankhon ke pujari hain mere shehar ke log
Tuu mere shehr main aaye ga to chaa jaye ga
hum qayamat bhi uthaaein gay to ho ga nahi kuch
Tuu faqat aankh uthaaye ga to chaa jaye ga
phool to phool hain , wo shakhs agar kante bhi
apne balon main sajaye ga to chaa jaye ga
yun to har rang hi sajtaa hai barabar tujh par
surkh pooshak main aaye ga to chaa jaye ga
pankhari hont , madhur lehja or awaz udaas
YARR ! Tuu sher sunaye ga to chaa jaye ga
jis musawir ki nahi bikti koi bhi tasweer
Teri tasweer bnaaye ga to chaa jaye ga

Rahman Faras

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo