Tu Guzar Gya Kisi Mauj Main Jisy Torr Kr Mery Kozah Gr



Tu Guzar Gya Kisi Mauj Main
Jisy Torr Kr Mery Kozah Gr
Mery Khaal-O-Khadd Nuqosh Thy
Ussi Chaak Pr Mery Kozah Gr
Tery Baad Koozah-Farosh Ne
Mujhy Taaqchy Main Saja Diya
Jahaan Toot Jaany Ka Khauf Tha
Mujhy Raat Bhr, Mery Kozah Gr
Teri Kaar-Gaah Ki Khamshi
Mujhy Na-Tamaam Na Chor De
Tu Dawaam Hoty Sukot Main
Koi Baat Kr Mery Kozah Gr
Kahin Yun Na Ho Tery Bad Main
Yunhi Khak Pr He Para Rahun
Mery Sony Naqsh-O-Nigar Main
Koi Rang Bhr, Mery Kozah Gr
Jo Zurof Khana Badosh Thy
Mujhy Kozah-Gaah Main Daikh Kr
Sabhi Hairaton Main Chaly Gaye
Mujhy Chor Kr, Meri Koozah Gr
Abhi Aag Se Meri Guftagu
Ko Tamaam Hony Main Waqt Hay
Main Hanooz Nam Hun Kahin Kahin
Zara Dair Kr, Mery Kozah Gr
Mujhy Shakl De K Durod Parh
Mery Saath Ism-E-Wujod Parh
Kisi Sub'h Awwaleen Waqt Main
Mujhy Naqsh Kr, Mery Kozah Gr

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai