Chashm ' E ' Be'Khawab Pay Khawabon Ka Asar Lagta Hai Kaisa Pat'jhar Hai Keh Shaakhon Pay Samar Lagta Hai



Chashm ' E ' Be'Khawab Pay Khawabon Ka Asar Lagta Hai
Kaisa Pat'jhar Hai Keh Shaakhon Pay Samar Lagta Hai

Mohlat ' E ' Umer Bas Itni Thi Keh Guzra Huwa Waqt
Ek Chalkay Hu'ay Aansu Ka Safar Lagta Hai

Kah!n Kuch Aur Bhi Ho Jaaun Na Raiza Raiza
Aisa Toota Hoon Keh Jurtay Hu'ay Darr Lagta Hai

Zehan Ki Jheel Say Yaadon Ki Dhanak Phoot'ti Hai
Ek MaiLa Hai Jo Har Shaam Idhar Lagta Hai..!!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai