Teray Badan Say Chhuu Kar Jo Idhar Bhi Aata Hai, Misaal-E-Rang Woh Jhonka, Nazar Bhi Aata Hai,



Teray Badan Say Chhuu Kar Jo Idhar Bhi Aata Hai,
Misaal-E-Rang Woh Jhonka, Nazar Bhi Aata Hai,
Tamaam Shab Jahaan Jalta Hai Ek Udaas Diya,
Hawa Ki Raah Men Ek Aisa Ghar Bhi Aata Hai,
Woh Mujh ko Toot Kay Chaahay ga Chhorr Jaaye ga,
Mujhay Khabar Thi Usay Yeh Hunar Bhi Aata Hai,
Ujaarr Bun Men Utar'ta Hai Ek Jugnu Bhi,
Hawa Kay Saath Koi Humsafar Bhi Aata Hai,
Wafa Ki Kaun si Manzil Pay Us nay Chhorra Tha,
Keh Woh To Yaad Hamen Bhool Kar Bhi Aata Hai,
Jahaan Lahoo Kay Samundar Ki Had Theharti Hai,
Waheen Jazeera-E-Laal-O-Guhar Bhi Aata Hai,
Chalay Jo Zikar Farishton Ki Paar'saayii Ka,
To Zair-E-Behas Muqaam-E-Bashar Bhi Aata Hai,
Abhi Sinaan Ko Sambhaalay Rahen Adoo Meray,
Keh In Safon Men Kaheen Mera Sar Bhi Aata Hai,
Kabhi Kabhi Mujhay Milnay Bulandiyon Say Koi,
Shua-E-Subha Ki Saurat Utaar Bhi Aatar Bhi Ata Hai,
Isi Liye Mein Kisi Shab Na So Saka Mohsin
Woh Mehtaab Kabhi Baam Par Bhi Aata Hai...

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai