Udaasi kay ufaq pay jab tumhari yaad kay jugnu chamaktay hain To meri rooh pay hijar ka rakha hua pathar



Udaasi kay ufaq pay jab tumhari yaad kay jugnu chamaktay hain
To meri rooh pay hijar ka rakha hua pathar
Chamakti barf ki suurat pighalta hai
Agarchay yuun pighalnay say yeh pathar sang'reza to nhi banta
Magar aik hosla sa dil ko hota hai
Keh jesay sar'basar taareek shab men bhi
Agar aik zard'roo sehma hua taara nikal aaye
To qaatil raat ka be-ism jaadu toot'ta hai
Musafir kay safar ka rasta to kam nhi hota
Magr taaray ki chilman say
Koi bhoola hua manzar achanak jagmagata hai
Sulagtay paaon men aik aabla sa phoot'ta hai

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha