Posts

Showing posts from October, 2018

Muhabbat Inayat Karam Dekhtey Hain Tumhein Itni Chhahat Se Hum Dekhtey Hain

Image
محبت عنایت کرم دیکھتے ہیں تمہیں اتنی چاہت سے ہم دیکھتے ہیں نظر یہ ہماری نہ لگ جائے تم کو یہی سوچ کہ تم کو کم دیکھتے ہیں Muhabbat Inayat Karam Dekhtey Hain  Tumhein Itni Chhahat Se Hum Dekhtey Hain Nazar Ye Humari Na Lag Jae Tumko Yahi Soch Keh Tum Ko Kam Dekhtey Hain

Parh liya jo gar unhone mere kore pannon ko tou hoga mehsoos jaise mujhe Ilahi mil gaya

Image
Parh liya jo gar unhone mere kore pannon ko tou hoga mehsoos jaise mujhe Ilahi mil gaya Aour jo gar na parh paaye wo mere kore pannon ko tou hum yaaron wohi saudai k saudai   31/10/2018

Usse harf-harf padhta, main jo aur zinda Rehta Mujhe thi azeez kitni Wo Kitaab-e-zindagaani

Image
Usse harf-harf padhta, main jo aur zinda Rehta Mujhe thi azeez kitni Wo Kitaab-e-zindagaani

Bare naz se soya tha wo humare sene par sir rakh kar Hum ne dharkan he rok le kahen us ki neend na toot jaye

Image
بڑے ناز سے سویا تھا وہ ھمارے سینے پر سر رکھ کر ھم نے دھڑکن ھی روک لی کہیں اس کی نیند نہ ٹوٹ جاۓ Bare naz se soya tha wo humare sene par sir rakh kar Hum ne dharkan he rok le kahen us ki neend na toot jaye

Hairat e Ishq Se Niklo Tou Kidhar Jaoun Main Aik Soorat Nazar Aati Hai Jidhar Jaoun Main

Image
حیرتِ عشق سے نکلوں تو کدھر جاؤں میں ایک صورت نظر آتی ہے جدھر جاؤں میں یہ بھی ممکن ہے کہ ہر سانس سزا ہو جائے ہو بھی سکتا ہے جدائی میں سنور جاؤں میں یوں مسلسل مجھے تکنے کی نہ عادت ڈالو یہ نہ ہو آنکھ جو جھپکو تو بکھر جاؤں میں کیا تیرے دل پہ قیامت بھی بھلا ٹوٹے گی گر تجھے دیکھ کے چپ چاپ گزر جاؤں میں دیکھو انجام تو دینے ہیں امورِ دنیا جی تو کرتا ہے تیرے پاس ٹھہر جاؤں میں تھام رکھا ہے جو تُو نے تو سلامت ہے بدن تُو اگر ہاتھ چھڑا لے تو بکھر جاؤں میں جس قدر بگڑا ہوا ہوں میں یہی سوچتا ہوں کب ترے ہاتھ لگوں اور سُدھر جاؤں میں کون ہے؟ بول میرا، میری اداسی تجھ بن تُو بھی گر پاس نہ آئے تو کدھر جاؤں میں یہ مری عمر فقط چاہ میں تیری گزرے مر نہ جاؤں جو ترے دل سے اتر جاؤں میں

Shab e taweel bhi kati Hai khud kalami se Koi shareek mere Raatjagy Mein tha hi Nahi

Image
Shab e taweel bhi kati Hai khud kalami se Koi shareek mere Raatjagy Mein tha hi Nahi

Tum jo perday mein sunwerty ho nateejha Kia hai Lutuf jab tha keh koi daiknay wala hota

Image
تم جو پردے میں سنورتے ہو نتیجہ کیا ہے لطف جب تھا کہ کوئی دیکھنے والا ہوتا Tum jo perday mein sunwerty ho nateejha Kia hai Lutuf jab tha keh koi daiknay wala hota

Zara Sa ishq ka Bhi iss mein Dakhal hota hai Koi Haseen Mukammal Haseen Nahi hota

Image
ذرا سا عشق کا بهی اس میں دخل ہوتا ہے کوئی حسین مکمل حسین نہیں ہوتا Zara Sa ishq ka Bhi iss mein Dakhal hota hai Koi Haseen Mukammal Haseen Nahi hota

Parakhna Mat Parakhne Se Koi Apna Nahi Hota Kisi Bhi Aainey Me Der Tak Chehra Nahi Rehta

Image
غــــــــــزل   پرکھنا مت ،پرکھنے سے کوئی اپنا نہیں رہتا کسی بھی آئینے میں دیر تک چہرہ نہیں رہتا بڑے لوگوں سے مِلنے میں ہمیشہ فاصلے رکھنا جہاں دریا سمندر سے مِلا، دریا نہیں رہتا ہزاروں شعر میرے سو گئے کاغذ کی قبروں میں عجب ماں ہُوں، کوئی بچّہ مِرا زندہ نہیں رہتا تُمھارا شہر تو بالکل نئے انداز والا ہے ہمارے شہر میں بھی، اب کوئی ہم سا نہیں رہتا محبّت ایک خوشبو ہے، ہمیشہ ساتھ چلتی ہے کوئی اِنسان تنہائی میں بھی تنہا نہیں رہتا کوئی بادل ہَرے موسم کا پِھر اعلان کرتا ہے خزاں کے باغ میں، جب ایک بھی پتہ نہیں رہتا

Jis nazakat se lehre pairo ko chuti hai Yakeen nahi hota inhonay kabhi kashtiyan daboyi hongi

Image
Jis nazakat se lehre pairo ko chuti hai Yakeen nahi hota inhonay kabhi kashtiyan daboyi hongi

Hagha ba rashi da gulono da sahar ghondy kho Za ba te lary da khazaan badono wary yama

Image
Hagha ba rashi da gulono da sahar ghondy kho Za ba te lary da khazaan badono wary yama

Somra Sada Sada kaata de kawal Somra rasa rasa weshta de kawal

Image
Somra Sada Sada kaata de kawal Somra rasa rasa weshta de kawal Da zra bazaar ta me de oor wartaka Ta pa zaan sa poidy che sa de kawal

Naam Honton Pe Tera Aae Tou Rahat Sii Mile Tu Tasalli Hai , Dilasa Hai , Dua Hai , Kia Hai?

Image
نام ہونٹوں پہ ترا آئے تو راحت سی ملے تو تسلی ہے دلاسہ ہے دعا ہے کیا ہے Naam Honton Pe Tera Aae Tou Rahat Sii Mile Tu Tasalli Hai , Dilasa Hai , Dua Hai , Kia Hai?

Muhabbat Phool Hoti Hai Kaho Tou Phool Ban Jaoun Tumhari Zindagi Ka Ik Haseen Usool Ban Jaoun

Image
محبت پھول ہوتی ہے، کہو تو پھول بن جاؤں تمہاری زندگی کا اِک حسیں اصول بن جاؤں Muhabbat Phool Hoti Hai Kaho Tou Phool Ban Jaoun Tumhari Zindagi Ka Ik Haseen Usool Ban Jaoun   سُنا ہے ریت پہ چل کے تم اکثر مہک جاتے ہو کہو تو اب کے بار میں زمیں کی دھول بن جاؤں  Suna Hai Rait Pe Chal K Tum Aksar Mehik Jate Ho Kaho Tou Ab K Baar Main Zameen Ki Dhool Ban Jaoun بہت نایاب ہوتے ہیں جنہیں تم اپنا کہتے ہو اجازت دو کہ میں بھی اس قدر انمول بن جاؤں Buhat Na-Yaab Hote Hain Jenhain Tum Apna Kehty Ho Ijazat Do K Main Bhi Iss Qadar Anmol Ban Jaoun

Uss K Labon Pe Raat Kahani Gazab Ki Thi Jazbat Beh Rahe Thay Rawani Gazab Ki Thi

Image
اس کے لبوں پہ رات کہانی غضب کی تھی جذبات بہہ رہے تھے روانی غضب کی تھی Uss K Labon Pe Raat Kahani Gazab Ki Thi Jazbat Beh Rahe Thay Rawani Gazab Ki Thi   راجہ بھی لاجواب تھا وادی عشق کا لیکن دیار حُسْن کی رانی غضب کی تھی Raja Bhi La-Jawab Tha Wadi e Ishq Ka Lekin Diyar e Husn Ki Raani Gazab Ki Thi کیا کیا نہ شام آئی میری عمر میں مگر گزری جو تیرے ساتھ سہانی غضب کی تھی Kia Kia Na Shaam Aai Meri Umar Mein Magar Guzri Jo Tere Saath Suhani Gazab Ki Thi   دیکھی ہے میں نے شہر میں چڑھتی جوانیاں لیکن جو تجھ پہ آئی جوانی غضب کی تھی Dekhi Hai Main Ne Shehr Mein Charhti Jawaniyan Lekin Jo Tujh Pe Aai Jawani Gazab Ki Thi   میں کے اک عمر تک لکھتا رہا داستان غم جو تم نے سنائی کل شب وہ کہانی غضب کی تھی Main K Ik Umar Tak Lekhta Raha Dastaan e Gham Jo Tum Ne Sunai Kal Shab Woh Kahani Gazab Ki Thi

Jab Dil Moom ka tha Tou Pighal Sa Jaata tha Jab Se Patther ka Hua Kambaght Toot jaata Hai

Image
Jab Dil Moom ka tha Tou Pighal Sa Jaata tha Jab Se Patther ka Hua Kambaght Toot jaata Hai 29/10/2017

ye sardiyon ka udaas mausam ki dhadkane barf ho gai hain jab un ki yakhbastagi parkhna tamazaten bhi shumar karna

Image
یہ سردیوں کا اداس موسم کہ دھڑکنیں برف ہو گئی ہیں جب ان کی یخ بستگی پرکھنا تمازتیں بھی شمار کرنا ye sardiyon ka udaas mausam ki dhadkane barf ho gai hain jab un ki yakhbastagi parkhna tamazaten bhi shumar karna

Mun tu shudam tu mun shudi,mun tun shudam tu jaan shudi Taakas na guyad baad azeen, mun deegaram tu deegari

Image
Mun tu shudam tu mun shudi,mun tun shudam tu jaan shudi Taakas na guyad baad azeen, mun deegaram tu deegari I have become you, and you me I am the body, you soul So that no one can say hereafter That you are someone, and me someone else Amir Khusro

Bahaal kar yah Murasem ko tor day yakser Yeh dermian ki azeeat say ab nikal mujhay

Image
بحال کر یا مراسم کو توڑ دے یکسر یہ درمیاں کی اذیت سے اب نکال مجھے   Bahaal kar yah Murasem ko tor day yakser Yeh dermian ki azeeat say ab nikal mujhay

Woh Guftago se Gureza Main Chahon Baat pe Baat

Image
وہ گفتگو سے گریزاں   میں چاہوں بات پہ بات Woh Guftago se Gureza  Main Chahon Baat pe Baat

raat-bhar sard hawa chalti rahi raat-bhar ham ne aalaao taapa

Image
raat-bhar sard hawa chalti rahi raat-bhar ham ne aalaao taapa main ne maazi se kai khushk si shaakhein kaatein tum ne bhi guzre hue lamhon ke patte todhe main ne jebon se nikaalein sabhi sukhi nazmein tum ne bhi haathon se murjhaaey hue khat khole apni in aankhon se main ne kai maanje todhe aur haathon se kai baasi lakeerein phenkein tum ne palkon pe nami sookh gai thi so gira di raat bhar jo bhi mila uggte badan par ham ko kaat ke daal diya jalte aalaao mein ussay raat-bhar phoonkon se har lau ko jagaaey rakha aur do jismon ke endhan ko jalaaey rakha raat-bhar bujhte hue rishte ko taapa ham ne Gulzar

Main Ne Deikha Tha Unn Dinnon Mein Ussey Jab Woh Khiltey Gulaab Jaisa Tha

Image
میں نے دیکھا تھا اُن دِنوں اُسے جب وُہ کھِلتے گُلاب جیسا تھا اُس کی پَلکوں سے نِیند چھَنتی تھی اُس کا لِہجہ شراب َجیسا تھا اُس کی زُلفوں سے بھِیگتی تھی گھَٹا اُس کا رُخ ماہتاب جَیسَا تھَا لوگ پَڑھتے تھے خال و خَد اُس کے وُہ آد ب کِی کِتاب جَیسا تھا بولتا تھا زُبان خُوشبُو کی لوگ سُنتے تھے دَھڑ کنوں میں اُسے اُس کے میرے مِلاپ میں حائل آب تو صَدیوں بَھرا زَمانہ ہے آب تو یُوں ہے کہ حال آپنا بھِی دَشتِ ہِجراں کی شام جیسا ہے کیا خَبر اِن دِنوں وُہ کیسا ہے ؟

Sukhan-e-Haq Ko Fazeelat Nahi Milne Wali Sabar Par Dad-e-Shuja'at Nahi Milne Wali

Image
سخنِ حق کو فضیلت نہیں مِلنے والی صبر پر دادِ شجاعت نہیں مِلنے والی وقتِ معلوم کی دہشت سے لرزتا ہوا دل ڈُوبا جاتا ہے کہ مُہلت نہیں مِلنے والی زندگی نذر گزاری تو مِلی چادرِ خاک اِس سے کم پر تو یہ نعمت نہیں مِلنے والی راس آنے لگی دُنیا تو کہا دِل نے کہ جا! اب تُجھے درد کی دولت نہیں مِلنے والی ہوسِ لقمۂ تر کھا گئی لہجے کا جلال اب کِسی حرف کو حُرمت نہیں مِلنے والی گھر سے نکلے ہوئے بیٹوں کا مقدر معلوم ماں کے قدموں میں بھی جنت نہیں مِلنے والی زندگی بھر کی کمائی یہی مِصرعے دو چار اِس کمائی پہ تو عزت نہیں مِلنے والی افتخارعارف Sukhan-e-Haq Ko Fazeelat Nahi Milne Wali Sabar Par Dad-e-Shuja'at Nahi Milne Wali Waqt e Maloom Ki Dehshat Se Larazta Huwa Dil Dooba Jata Hai K Mohlat Nahi Milne Wali Zindagi Nazar Guzari To Mili Chadar-e-Khaak Iss Say Kam Par To Yeh Nemat Nahi Milne Wali Raas Anay Lagi Duniya To Kaha Dil Ney K Ja Ab Tujhe Dard Ki Doulat Nahi Milne Wali Hawas-e-Luqmah-e-Tar Kha Gayi Lehjey Ka Jalal Ab Kisi Harf Ko Hurmat Nahi Milne Wali Ghar Sey Nikl...

Buhat Hi Maan Hai Tum Par Suno Paas e Wafa Rakhna Sabhi Se Tum Milo Lekin Zara Sa Fasla Rakhna

Image
ﺑﮩﺖ ﮨﯽ ﻣﺎﻥ ﮨﮯ ﺗﻢ ﭘﺮ ﺳﻨﻮ ﭘﺎﺱ ﻭﻓﺎ ﺭﮐﮭﻨﺎ ﺳﺒﮭﯽ ﺳﮯ ﺗﻢ ﻣﻠﻮ ﻟﯿﮑﻦ ﺫﺭﺍ ﺳﺎ ﻓﺎﺻﻠﮧ ﺭﮐﮭﻨﺎ ﺑﭽﮭﮍ ﺟﺎﻧﺎ ﺑﮭﯽ ﭘﮍتا ﮨﮯ ذﺭﺍ ﺳﺎ ﺣﻮﺻﻠﮧ ﺭﮐﮭﻨﺎ ﻭﮦ ﺳﺎﺭﮮ ﻭﺻﻞ ﮐﮯ ﻟﻤﺤﮯ ﺗﻢ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﺠﺎ ﺭﮐﮭﻨﺎ ﺍﺑﮭﯽ ﺍﻣﮑﺎﻥ ﺑﺎﻗﯽ ﮨﮯ ﺍﺑﮭﯽ ﻟﺐ ﭘﺮ ﺩﻋﺎ ﺭﮐﮭﻨﺎ ﺑﮩﺖ ﻧﺎﯾﺎﺏ ﮨﯿﮟ ﺩﯾﮑﮭﻮ ﮨﻤﯿﮟ ﺳﺐ ﺳﮯ ﺟﺪﺍ ﺭﮐﮭﻨﺎ Buhat Hi Maan Hai Tum Par Suno Paas e Wafa Rakhna Sabhi Se Tum Milo Lekin Zara Sa Fasla Rakhna Bichad Jana Bhi Padta Hai Zara Sa Hosla Rakhna Woh Saare Wasal K Lamhe Tum Aankhon Mein Saja Rakhna Abhi Imkaan Baqi Hai Abhi Lab Par Dua Rakhna Buhat Na-Yaab Hain Dekho Humein Sab Se Juda Rakhna

Koi faryad tere Dil mein dabi ho jese Tuu ne aankhon se koi baat kahee ho jese

Image
Koi faryad tere Dil mein dabi ho jese Tuu ne aankhon se koi baat kahee ho jese Jaagte jaagte ik umar kati ho jese Jan baki hai magar saans ruki ho jese Har mulaqaat pe mehsoos yehi hota hai Mujh se kuch Teri nazar puchh rahi ho jese Raah chalte hue aksar ye gumaan hota hai Wo nazar chuph ke mujhe dekh rahi ho jese Aik lamhe mein simat aaya sadion ka safar Zindagi taiz boht taiz chali ho jese Iss tarah pehron tujhe sochta rehta hon main Meri har saans tere naam likhi ho jese

Ye sukhan jo hum ne raqam kiye, ye hain sab warq teri yaad ke Koi lamha subah e wisaal ka, koi sham hijr ki muddatein

Image
یہ سخن جو ہم نے رقم کیے، یہ ہیں سب ورق تیری یاد کے کوئی لمحہ صبحِ وصال کا، کوئی شامِ ہجر کی مدتیں  Ye sukhan jo hum ne raqam kiye, ye hain sab warq teri yaad ke Koi lamha subah e wisaal ka, koi sham hijr ki muddate in

Kabhi Khuwaab Chishm K Paani Mein Toofano Ka Parchaar Karein Kabhi Nafs Ammara Kehta Hai Palkon Mein Lap Jhap Aany Do

Image
"JAWANI" Kabhi Khuwaab Chishm K Paani Mein Toofano Ka Parchaar Karein Kabhi Nafs Ammara Kehta Hai Palkon Mein Lap Jhap Aany Do Razab Tabraiz

Zer e Tabassum Tane Hoe Se Woh Poochty Hain Yun Aainy Se Batao Kis Ko Parhain KALMA Batao Kis Ka EEMAAN Cheenein

Image
Zer e Tabassum Tane Hoe Se Woh Poochty Hain Yun Aainy Se Batao Kis Ko Parhain KALMA Batao Kis Ka EEMAAN Cheenein

Shikast e Faash Di Jo Meri Shoukh Nazar Ne Angasgt e Yaar Jheenp Ke Danton Mein Ja Chupi

Image
شکست فاش دی جو  میری شوخ نظر نے انگشت یار جهینپ کے دانتوں میں جا چهپی  رزب تبریز Shikast e Faash Di Jo Meri Shoukh Nazar Ne Angasgt e Yaar Jheenp Ke Danton Mein Ja Chupi Razab Tabraiz

Khushbo ke Jazeroon Se Sitaron Ki Hadood tak Iss Shehar Mein Sab Kuch Hai Bas Aik teri Kami Hai

Image
Khushbo ke Jazeroon Se Sitaron Ki Hadood tak  Iss Shehar Mein Sab Kuch Hai  Bas Aik teri Kami Hai

Koi Chhand Rakh Meri Shaam Par Mera Dil Jaley Tere Naam Par

Image
کوئی چاند رکھ میری شام پر میرا دِل جلے تیرے نام پر یہ اکیلےپن کی اداسیاں یہ فراق لمحے عذاب سے کبھی دشتِ دل پہ آ رکیں تیری چاہتوں کے سحاب سے میں ہوں تجھ کو جاں سے عزیزتر میں یہ کیسے مان لوں اجنبی تیری بات لگتی ہے وہم سی تیرے لفظ لگتے ہیں خواب سے یہ جو میرا رنگ و روپ ہے یونہی بے سبب نہیں دوستو میرے خوشبوؤں سے ہیں سلسلے میری نسبتیں ہیں گلاب سے اسے جیتنا ہے تو ہمنشیں یونہی گفتگو سے نہ کام لے کوئی چاند لاکے جبیں پہ رکھ لا کوئی گہر تہہِ آب سے وہی معتبر ہے میرے لئے وہ جو حاصلِ دل و جان ہے وہ جو باب تم نے چرا لیا میری زندگی کی کتاب سے ‏کوئی چاند رکھ میری شام پر میرا دِل جلے تیرے نام پر

Kaisa jan lewa musam hai October ki sham Thandi hawa Udaas darecha Khamosh mobile Tanhaai main aor chaae

Image
Kaisa jan lewa musam hai October ki sham Thandi hawa Udaas darecha Khamosh mobile Tanhaai main aor chaae

tere naqsh e paa ko choom kar khud psheymaa'n hoon main hosh mein itni jurrrt ns hoti be-khudi mein khtaa ho gayi

Image
tere naqsh e paa ko choom kar khud psheymaa'n hoon main hosh mein itni jurrrt ns hoti be-khudi mein khtaa ho gayi

Phir palat rahi hain sardiyon ki suhani ratain Phir uss ki yaad mein jalne ka zamana aaya

Image
Phir palat rahi hain sardiyon ki suhani ratain Phir uss ki yaad mein jalne ka zamana aaya

Kabhi Rangoon se khelo tum Mujhe tasveer kar dalo

Image
Kabhi Rangoon se khelo tum Mujhe tasveer kar dalo, Kabhi lafzoon mein daal kar jan Mujh pe ik ghazal kar dalo, Mein koi khwab hoon shayad Isay tabeer kar dalo, Meri souchein bhatak'ti hain Zamane ki saray mein, Kabhi mumkin Jo ho tum se Inhein zanjeer kar dalo, Meri Dunya tum hi tak hai Tumhein kese btaoon mein, Meri heer bano tum hi Mujhy bhi ranjha kar dalo, Kabhi Rangon se khelo tum Kabhi lafzon mein dal kar jan, Mujhe taabeer kar dalo Mujhe bhi Ranjha kar dalo

Aye Chaand Tu Kis Mazhab ka Hai..?? Eid Bhi Teri Aur Karwachaut Bhi Tera

Image
Aye Chaand Tu Kis Mazhab ka Hai..?? Eid Bhi Teri Aur Karwachaut Bhi Tera..!! Mirza Ghalib

Bikharti Shaam Ki Parchhaiyan Mujhe De Do Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyan Mujhe De Do

Image
بکھرتی شام کی پرچھائیاں مجھے دے دو تم اپنی شام کی تنہائیاں مجھے دے دو میں تم کو یاد کروں اور تم چلے آو تم اپنے پیار کی سچائیاں مجھے دے دو میں ڈوب جاؤں تمھاری اداس آنکھوں میں تم اپنے درد کی گہرائیاں مجھے دے دو Bikharti Shaam Ki Parchhaiyan Mujhe De Do Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyan Mujhe De Do Main Tum Ko Yaad Karon Aur Tum Chaley Aao Tum Apne Piyar Ki Sachaiyan Mujhe De Do Main Doob Jaon Tumhari Udaas Aankhon Mein Tum Apne Dard Ki Gehraiyan Mujhe De Do

Chalo Boond Boond Utro Meri Saanson Me Keh Tere Hijar Ke Dardon Ne Wafa Maangi Hai

Image
چلو بوند بوند اترو میری سانسوں میں کہ ترے ہجر کے دردوں نے وفا مانگی ہے Chalo Boond Boond Utro Meri Saanson Me Keh Tere Hijar Ke Dardon Ne Wafa Maangi Hai

Kabhi Yaad Aye To Pochna Zara Apni Khalwat-E-Shaam Se

Image
Kabhi Yaad Aye To Pochna Zara Apni Khalwat-E-Shaam Se Kisse Ishq Tha Teri Zaat Se Kisse Pyar Tha Tera Naam Se Zara Yaad Karo Wo Kon Tha Jo Kabhi Tujhe Bhi Aziz Tha Wo Jo Ji Utha Tere Naam Se Wo Jo Mer Mitaa Tere Naam Pe Hame Be Rukhi Ka Nahi Gila K Yehi Wafaon K Hai Sila Magar Aisa Jurm Tha Konsa Gaye Ham Jo Dua-O-Salam Se Na Kabhi Vissal Ki Chah Ki Na Kabhi Firaq Mien Ahh Ki K Mera Tareqa-E-Bandagi Hai Juda Tareqap-E-Aam Se

Halat e haal k sabab , halat e haal hi gai Shouk mein kuch Nahi gaya , shouk ki zindagi gai

Image
حالتِ حال کے سبب، حالتِ حال ہی گئی شوق میں کچھ نہیں گیا، شوق کی زندگی گئی  Halat e haal k sabab , halat e haal hi gai Shouk mein kuch Nahi gaya , shouk ki zindagi gai

Poshaak e Zindagi tujhay seetay sanwartay Soa(100) chaidh ho Gaye hain rafogar ke haath mein

Image
پوشاکِ زندگی تجھے سیتے سنوارتے سو چھید ہو گئے ہیں رَفوگر کے ہاتھ میں Poshaak e Zindagi tujhay seetay sanwartay Soa(100) chaidh ho Gaye hain rafogar ke haath mein

Jo ujhaloon Mein kho jaien wo Taaq ratoon Mein bhii nahi miltay

Image
جو اجالوں میں کھو جائیں وہ طاق راتوں میں بھی نہیں ملتے Jo ujhaloon Mein kho jaien wo Taaq ratoon Mein bhii nahi miltay

Be-Wajha Na Janey Kiyun Zidd Hai Unn Ko Shabb e Furqat Walon Se Woh RAAT Barhaa Deiney Ke Liyey,Gaisoo Ko Sanwaara Kartey Hein

Image
بے وَجہ نہ جانے کیُوں ضِد ہے اُن کو شَبِ فُرقَت والوں سے وُہ رات بڑھا دینے کے لِئے ، گیسُو کو سَنوارا کرتے ہین Be-Wajha Na Janey Kiyun Zidd Hai Unn Ko Shabb e Furqat Walon Se Woh RAAT Barhaa Deiney Ke Liyey,Gaisoo Ko Sanwaara Kartey Hein

Ponchho Na Araq Rukhsaaron se,Rangeeni e Hussn Ko Barhney Do Suntey Hein Keh SHABNUM Ke Qatrey , PHOOLON Ko Sanwaara Kartey Hein

Image
پُونچھو نہ عَرَق رُخساروں سے ، رَنگینئ حُسن کو بَڑھنے دو سُنتے ہیں کہ شَبنَم کے قَطرے ، پھُولوں کو سَنواراکَرتے ہیں Ponchho Na Araq Rukhsaaron se, Rangeeni e Hussn Ko Barhney Do Suntey Hein Keh SHABNUM Ke Qatrey , PHOOLON Ko Sanwaara Kartey Hein

US KI YAADON SE KAHO,HAATH PAKAR LEN AA KAR GUM HUA JATA HAI,TAAREEKI MAIN SAYA MERA

Image
اُس کی یادوں سے کہو ھاتھ پکڑ لیں آ کر گُم ھُوا جاتا ھے تاریکی میں سایہ میرا US KI YAADON SE KAHO,HAATH PAKAR LEN AA KAR GUM HUA JATA HAI,TAAREEKI MAIN SAYA MERA

Doobtay doobtay,kashti ko uchalaa de doon man naheen,koi to,sahil pe uttar jae ga

Image
Doobtay doobtay,kashti ko uchalaa de doon man naheen,koi to,sahil pe uttar jae ga zabt lazim ha,magar ,dukh ha qyamat ka FARAZ zalim,ab k bhi na roae ga,to mar jae ga

Main aaj zad pe agar hoon tou Khush-gumaan na ho Charaagh sab ke bujheinge, Hawa kisi ki nahi

Image
Main aaj zad pe agar hoon tou Khush-gumaan na ho Charaagh sab ke bujheinge, Hawa kisi ki nahi Ahmad Faraz

Jo fursat mily tou chand sy Meri khani pooch laina Aik wahi tou tha humraaz mera tere so jany ky baad

Image
جو فرصت ملے تو چاند سے میری کہانی پوچھ لینا اِک وہی تو تھا ہمراز میرا تیرے سو جانے کےبعد Jo fursat mily tou chand sy Meri khani pooch laina Aik wahi tou tha humraaz mera  tere so jany ky baad

Hasrat kuch aur waqt iltaja kuch aur Kon jee pata hai apni mutabiq zindgi yahan

Image
حسرت کچھ اور،وقتِ التجا کچھ اور کون جی پاتا ہے اپنے مطابق زندگی یہاں Hasrat kuch aur waqt iltaja kuch aur Kon jee pata hai apni mutabiq zindgi yahan

Tujh Ko Paaya To Chaak See Lein gay Ghum Bhi Amratt Samajhh Ke Pee Lein Gey Warna Yun Hay Keh Daman e Dil Mein Chand Saansein Hein Gin Ke Jee Lein Gey

Image
تُجھ کو پایا تو چاک سِی لیں گے غَم بھی آمرَت سَمَجھ کے پِی لیں گے وَرنہ یُوں ہے کِہ دامَنِ دِل میںچَند سانسیں ہیں ، گِن کے جِی لیں گے Tujh Ko Paaya To Chaak See Lein gay Ghum Bhi Amratt Samajhh Ke Pee Lein Gey Warna Yun Hay Keh Daman e Dil Mein Chand Saansein Hein Gin Ke Jee Lein Gey