Apni pasand chor di Uss ki khareed li Wirsay ka khait baich ke kothi khareed li



اپنی پسند چھوڑ دی اسکی خرید لی
ورثے کا کھیت بیچ کے کوٹھی خرید لی

اک عمر اپنے بیٹوں کو انگلی تھمائ پھر
بوڑھے نے اک دکان سے لاٹھی خرید لی

ویسے تو نرخ کم ہی تھے گندم کے اس برس
آئ تھی تیرے گاؤں سے مہنگی خرید لی

ہم دوستوں کے پیار میں ہم رنگ ہیں لباس
اور لوگ کہہ رہے ہیں کہ وردی خرید لی

تصویر اپنی خود ہی مصور کو بھاگئ
خود گیلری میں پیش کی خود ہی خرید لی

اے ہجر زاد تم کو بھی ہے آرزوئے وصل
اے دشت زاد تم نے بھی کشتی خرید لی

پارس ہے اصل مسئلہ چلنا گھڑی کے ساتھ
اس سے غرض نہیں ہے کہ کیسی خرید لی

پارس مزاری

Apni pasand chor di Uss ki khareed li
Wirsay ka khait baich ke kothi khareed li

Ik umar apne baito'n ko ungli tha'mai phir
Borhay ne ik dukan se lathi khareed li

Wese to nerkh kam hi tha gandam ke iss baras
Aai thi tere gao'n se mehngi khareed li

Hum dosto'n ke pyar main hum'rang hai'n libas
Aur log keh rahe hai'n ke Wardi khareed li

Tasveer apni khud he mosavir (Painter) ko bha gai
Khud gallery mein pai'sh ki khud hi khareed li

Aye hijar'zad tum ko bhi hai arzoo e wisal
Aye dasht'zad tum ne bhi kashti khareed li

Paris hai asal mas'ala chalna ghri ke saath
Iss se gharz nahi hai ke kaisi khareed li
Paris Mazari

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai