Meri Aankhein Samandar Se Bhi Ziyada Gehri Hain Meri Aankhein Uthti Giti Lehron Ki Tarah Hain Meri Aankhon K Darbaan Meri Daraaz Pakein Hain



!!!ﯾﺎﺩ" ﮨﮯ ﺗﻢ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ ﺗﮭﺎ۔۔۔"
ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺳﻤﻨﺪﺭ ﺳﮯ ﺑﮭﯽ ﺯﯾﺎﺩﮦ
ﮔﮩﺮﯼ ﮨﯿﮟ
ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺍﭨﮭﺘﯽ ﮔﺮﺗﯽ ﻟﮩﺮﻭﮞ
ﮐﯽ ﻃﺮﺡ ﮨﯿﮟ
ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﮯ ﺩﺭﺑﺎﻥ ﻣﯿﺮﯼ ﺩﺭﺍﺯ
ﭘﻠﮑﯿﮟ ﮨﯿﮟ
!!!ﮐﺎﺵ" ۔۔۔۔"
ﮐﺴﯽ ﺭﺍﺕ ﺗﻢ ﻧﯿﻨﺪ ﺳﮯ ﺑﯿﺪﺍﺭ ﮨﻮ
ﺗﻮ ﺗﻤﮭﯿﮟ ﻣﯿﺮﯼ ﺑﮯ ﻧﻮﺭ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﺎ
ﺧﯿﺎﻝ ﺁﺋﮯ
ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﺭﺍﺕ ﺻﺪﯾﻮﮞ ﭘﺮ ﻣﺤﯿﻂ ﮨﻮ
ﺟﺎﺋﮯ
!!!ﮐﺎﺵ"۔۔۔۔"
ﺗﻢ ﺩﯾﮑﮫ ﺳﮑﺘﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﻭﯾﺮﺍﻥ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ
ﮐﯽ ﻣﺴﺘﯽ
ﮐﮧ ﮐﯿﺴﮯ ﺍﺟﺎﮌ ﺩﯼ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﯽ
ﮨﺴﺘﯽ
ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﺎ ﺳﻤﻨﺪﺭ ﺍﺏ ﺗﻮ
ﺧﺸﮏ ﮨﻮ ﮔﯿﺎ ﮨﮯ
ﻭﮦ ﺍﭨﮭﺘﯽ ﮔﺮﺗﯽ ﻟﮩﺮﯾﮟ ﺩﻡ ﺗﻮﮌ ﮔﺌﯿﮟ
ﮨﯿﮟ
ﺍﺏ ﺑﮭﯽ ﺩﺭﺍﺯ ﭘﻠﮑﯿﮟ ﻣﯿﺮﯼ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ
ﮐﯽ ﺩﺭﺑﺎﻥ ﮨﯿﮟ
ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﻣﯿﺮﮮ ﺍﺷﮏ ﭘﻠﮑﻮﮞ ﭘﺮ ﺳﺠﺎ
ﻟﯿﺘﯽ ﮨﯿﮟ

" Yaad " Hai Tum Ne Kaha Tha_!!!
Meri Aankhein Samandar Se Bhi Ziyada
Gehri Hain
Meri Aankhein Uthti Giti Lehron
Ki Tarah Hain
Meri Aankhon K Darbaan Meri Daraaz
Pakein Hain
" Kaash " !!!
 Kisi Raat Tum Neend Se Bedaar Ho
Tou Tumhein Meri Be-Noor Aankhon Ka
Khayal Aaye
Aur Woh Raat Sadion Par Muheet Ho Jae
!!!ﮐﺎﺵ"۔۔۔۔"
 Tum Dekh Sakty Meri Veeran Aankhon
Ki Masti
Keh Kaise Ujad Di Main Ne Apni
Hasti
Meri Aankhon Ka Samandar Ab Tou
Khushk Ho Gaya Hai
Woh Uthti Girti Lehren Dum Tod Gaein
Hain
Ab Bhi Daraz Palkein Meri Aankhon 
Ki Darbaan Hain
Kionke Mere Ashk Palkon Par Saja
Laiti Hain

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo