Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait



Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait

Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh
Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait

Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz
Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait

Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman
Hum Bhi Jaayein Kubhi Dildaar Samait

Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab
Ik Qayaamat Tha Woh Raftaar Samait

Jin Ki Haibat Se Hirasan Lashkar
Be-Nishaan Ab Hain Woh Talwaar Samait

Bujh Jaayein Kahein Aankhain Meri
Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait

Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar
Qaaflay Gum Howay Saalaar Samait

Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair
Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait

Main Ke Mohsin Hon Shaheed-e-Naamoos
Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo