Posts

Showing posts from September, 2021

Tu Ne Maikhana Nigahon Mein Chupa Rakha Hai Hosh Walon Ko Bhi Deewana Bana Rakha Hai

Image
    ﺗُﻮﻧﮯ ﻣﯿﺨﺎﻧﮧ ﻧﮕﺎﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭼﮭُﭙﺎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ ﮨﻮﺵ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﮐﻮ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﻮﺍﻧﮧ ﺑﻨﺎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ ﻧﺎﺯ ﮐﯿﺴﮯ ﻧﮧ ﮐﺮﻭﮞ ﺑﻨﺪﮦ ﻧﻮﺍﺯﯼ ﭘﮧ ﺗﯿﺮﯼ ﻣﺠﮫ ﺳﯽ ﻧﺎ ﭼﯿﺰ ﮐﻮ ﺟﺐ ﺍﭘﻨﺎ ﺑﻨﺎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ ﺍﮮ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺮﺩﮦ ﻧﺸﯿﮟ ﺗﯿﺮﯼ ﺗﻮﺟﮧ ﭘﮧ ﻧﺜﺎﺭ ﻣﯿﮟ ﻧﮯ ﺩﻧﯿﺎ ﺳﮯ ﺗﯿﺮﺍ ﻋﺸﻖ ﭼﮭُﭙﺎ ﺭﮐﮭﺎ ہے Tu Ne Maikhana Nigahon Mein Chupa Rakha Hai Hosh Walon Ko Bhi Deewana Bana Rakha Hai Naaz Kaise Na Karon Banda Nawazi Pe Teri Mujh See Na-Cheez Ko Jab Apna Bana Rakha Hai Aey Mere Parda-Nasheen Teri Tawaja Pe Nisar Main Ne Dunya Se Tera Ishq Chupa Rakha Hai  

Main Dhidon Bhuka Maharma Mere Bhuk Ne Kheche Saa

Image

Teri Aankhen Thein Mai-Kadah Lekin Apne Honton Ki Piyas Kia Karte

Image
Teri Aankhen Thein Mai-Kadah Lekin Apne Honton Ki Piyas Kia Karte Aap Se Haal-e-Dil Chupa Tou Na Tha Aap Se Iltemas Kia Karte My eyes were dark but Why do you thirst for your lips? I did not hide my heart from you What should I request you? ❤️ I was your eyes - sometimes but What do you thirst for your lips? I did not hide the condition of my heart from you. What would you do with you?

Jinhon Ne Us Sanvli Ke Namkeen Khal o Khad Ko Chakha Hai FARIS Namak Ki Hurmat Ko Jante Hein Namak-Harami Nahi Karengy

Image
  جنہوں نے اُس سانولی کے نمکین خال و خد کو چکھا ھے فارس نمک کی حُرمت کو جانتے ھیں، نمک حرامی نہیں کریں گے رحمان فارس Jinhon Ne Us Sanvli Ke Namkeen Khal o Khad Ko Chakha Hai FARIS Namak Ki Hurmat Ko Jante Hein Namak-Harami Nahi Karengy Rehman Faris  

Che Zama Pu Shaan Zalmay Warpase Jadi HAMZA Waya Da Ba Khkoli Vi Kana

Image
  چی زما پہ شان زلمے ورپسی جاڑی حمزہ وایا دہ بہ خکلی وی کنہ Che Zama Pu Shaan Zalmay Warpase Jadi HAMZA Waya Da Ba Khkoli Vi Kana  

Mor Rapase Garzi Che Pu Ma Charta Na-Wakhta Shi Ma Ba Darta Na Wail Che Pu Ma Pase Ka'aba Garzi

Image
  مور راپسے گرزی چے پہ مہ چرتہ ناوختہ شی ♥♥♥ مہ بہ درتہ نہ ویل چے پہ ما پسے کعبہ گرزی Mor Rapase Garzi Che Pu Ma Charta Na-Wakhta Shi ♥♥♥ Ma Ba Darta Na Wail Che Pu Ma Pase Ka'aba Garzi  

Jise Aap Gintay Thay Aashna , Jise Aap Kehtay Thay Ba-Wafa Main Wahi Hoon MOMIN Mubtala , Tumhein Yaad Ho Keh Na Yaad Ho

Image
  جسے آپ گنتے تھے آشنا،جسے آپ کہتے  تھے  باوفا میں وہی ہوں مومن مبتلا،تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو مومن خان مومن Jise Aap Gintay Thay Aashna , Jise Aap Kehtay Thay Ba-Wafa Main Wahi Hoon MOMIN Mubtala , Tumhein Yaad Ho Keh Na Yaad Ho Momin Khan Momin  

Tum Samandar Ki Baat Karte Ho Log Aankhon Mein Doob Jate Hein

Image
  تم سمندر    کی  بات   کرتے   ہو لوگ آنکھوں میں ڈوب جاتے ہیں Tum Samandar Ki Baat Karte Ho Log Aankhon Mein Doob Jate Hein

Kashish Dil Tou Sabhi Dete Hein Aksar Piyar Mein Lekin Nigah e Shouq Chanchal Ko Chalakta Jaam Kar Dongi

Image
  کشش دل تو سبھی دیتے ہیں اکثر پیار میں لیکن نگاہ شوق چنچل  کو  چھلکتا   جام   کردوں گی Kashish Dil Tou Sabhi Dete Hein Aksar Piyar Mein Lekin Nigah e Shouq Chanchal Ko Chalakta Jaam Kar Dongi ثمینہ کشش فراش انڈیا Sameena Kashish Firash India  

Mujh Mein Koi Gosha Bhi Aabad Nahi Jangal Hai Sarkar ! Musalsal Jangal Hai

Image
  مجھ میں کوٸی گوشہ بھی آباد نہیں جنگل ہے سرکار!مسلسل جنگل ہے Mujh Mein Koi Gosha Bhi Aabad Nahi Jangal Hai Sarkar ! Musalsal Jangal Hai عمیر نجمی Umair Najmi

Meri Khud-Dar Tabiyat Ko Gawara Hi Nahi Keh Mera Sar Kisi Kam-Zarf Ka Shana Dhoonday

Image
  میری  خُود دار طبیعت  کو  گوارہ  ھی نہیں کہ میرا سر کسی کم ظرف کا شانہ ڈھونڈے Meri Khud-Dar Tabiyat Ko Gawara Hi Nahi Keh Mera Sar Kisi Kam-Zarf Ka Shana Dhoonday  

Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye

Image
  کبھی رک گئے Kabhi Ruk Gaye کبھی چل دیئے Kabhi Chal Diye کبھی چلتے چلتے بھٹک گئے Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye یونہی عمر ساری گزار دی Yunhi Umar Sari Guzar Di یونہی زندگی کے ستم سہے Yunhi Zindagi Ke Sitam Sahay کبھی نیند میں Kabhi Neend Mein کبھی ہوش میں Kabhi Hosh Mein وہ جہاں ملا Woh Jahan Mila اسے دیکھ کر Usay Dekh Kar نہ نظر ملی نہ زباں ہلی Na Nazar Mili Na Zubaan Hili یونہی سر جھکا کر گزر گئے Yuhi Sar Jhuka Kar Guzar Gaye مجھے یاد ہے Mujhe Yaad Hai کبھی ایک تھے Kabhi Aik Thay مگر آج ہم ہیں جدا جدا Magar Aaj Hum Hein Juda Juda وہ جدا ہوئے تو سنور گئے Woh Juda Hoe Tou Sanwar Gaye ہم جدا ہوئے تو بکھر گئے Hum Juda Hoe Tou Bikhar Gaye کبھی عرش پر Kabhi Arsh Par کبھی فرش پر Kabhi Farsh Par کبھی ان کے در Kabhi Unke Dar کبھی در بدر Kabhi Dar Badar  غم عاشقی تیرا شکریہ Gham e Aashiqi Tera Shukria ہم کہاں کہاں سے گزر گئے Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye

Mohsin! Takkalufaat ke ghaarat gari na pooch

Image
  مُحسن ! تکلُفات کی غارت گَری نہ پُوچھ Mohsin! Takkalufaat ke ghaarat gari na pooch تُجھ کو غمِ وفا,  مُجھے فِکرِ مُعاش ہے Tujh ko ghum-e-waafa, mujhe fikare-e-moa'ash hai  

Uske baad logon ne mujhe Uske zikr se maara

Image
Uske baad logon ne mujhe Uske zikr se maara

Palkon ki hadd tor ke daaman peh aa gira Ik ashq meray sabr ki touheen kar gaya

Image
Palkon ki hadd tor ke daaman peh aa gira Ik ashq meray sabr ki touheen kar gaya  

Rehne de kuch to mere bhi kaase mein nematen Tujh ko khuda ka wasta mairi ana na maang

Image
Rehne de kuch to mere bhi kaase mein nematen Tujh ko khuda ka wasta mairi ana na maang

Ab Ke Mousam Mein Ye Ma'ayar e Junoon Thehra Hai Sar Salamat Rahein Dastar Na Rehne Paaye

Image
  اب کے موسم میں یہ معیارِ جنوں ٹھہرا ہے سر سلامت رہیں دستار نہ رہنے پائے *** ایک مدت کی رفاقت کا ہو کچھ تو انعام جاتے جاتے کوئی الزام لگاتے جاؤ *** اس کو چاہا تھا کبھی خود کی طرح آج خود اپنے طلب گار ہیں ہم *** زندگی گل ہے نغمہ ہے مہتاب ہے زندگی کو فقط امتحاں مت سمجھ *** بدن کو روندنے والو ضمیر زندہ ہے جو حق کی پوچھ رہے ہو تو حق ادا نہ ہوا *** لفظوں کے احتیاط نے معنی بدل دیئے اس اہتمامِ شوق میں حسن اثر گیا *** کیا خبر تھی ہمیں یہ زخم بھی کھانا ہوگا تو نہیں ہوگا تری بزم میں آنا ہوگا *** کس قدر نادم ہوا ہوں میں برا کہہ کر اسے کیا خبر تھی جاتے جاتے وہ دعا دے جائے گا *** ابلاغ کے لئے نہ تم اخبار دیکھنا ہو جستجو تو کوچہ و بازار دیکھنا *** لفظوں کو اعتماد کا لہجہ بھی چاہئے ذکرِ سحر بجا ہے یقینِ سحر بھی ہے *** سورج چڑھا تو پھر بھی وہی لوگ زد میں تھے شب بھر جو انتظار سحر دیکھتے رہے *** یہ میرے چاروں طرف کس لیے اجالا ہے ترا خیال ہے یا دن نکلنے والا ہے *** خندۂ لب میں نہاں زخمِ ہنر دیکھے گا کون بزم میں ہیں سب کے سب اہلِ نظر دیکھے گا کون *** سوچا تھا کہ اس بزم میں خاموش رہیں گے موضوعِ سخن بن کے

Main Ne Rakhi Hai Faqat Dil Ki Tasalli Ke Liye Kia Koi Jurm Hai Tasweer Tumhari Rakhna?

Image
  میں نے رکھی ہے فقط دل کی تسلی کے لیے کیا کوئی جرم ہے تصویر  تمھاری رکھنا؟ Main Ne Rakhi Hai Faqat Dil Ki Tasalli Ke Liye Kia Koi Jurm Hai Tasweer Tumhari Rakhna?

Zindagi tu mujhe kis mod pe le aayi hai Khuwaab khulte the jahan barf wahan chhai hai

Image
Zindagi tu mujhe kis mod pe le aayi hai Khuwaab khulte the jahan barf wahan chhai hai Sau dareeche hain magar shama kisi par bhi nahin Chand nikle meri raton ka muqaddar bhi nahin Kya karon kya na karon haath mein pathhar bhi nahin Sheesh mahlon ko koi gham bhi nahin dar bhi nahin Log gunge hain bayaban mein azaan kaise ho Log qatil hain ilaaj-e-gham-e-jaan kaise ho Log pathar hain toh ehsas-e-ziyaan kaise ho Kis ko fursat jo pooche keh miyan kaise ho Raat jab khatm hui thi to sehar lagti thi Roshni rahguzar rahguzar lagti thi Zindagi koocha-e-janan ka safar lagti thi Apni manzil kahin jannat ke udhar lagti thi Kuch bhi ankhon mein nahin ashk-e-nadamat ke siwa Kuch bhi daman mein nahin dagh-e-malamat ke siwa Kuch bhi chehre pe nahin gard-e-masafat ke siwa Apni dukaan mein sab hai muhabbat ke siwa QAISAR-UL-JAFRI As the light slowly faded and the dark night engulfed the land,I sit here, hand in chin, wondering confused, deep in thought about what it was and what might be as the trees sw

Sawaal zeher ka nahin tha woh to main pee gaya Taqleef logon ko tab hui jab main ji gaya

Image
Sawaal zeher ka nahin tha woh to main pee gaya Taqleef logon ko tab hui jab main ji gaya  

Bhulata Lakh Hoon Lekin Barabar Yaad Aatay Hein Ilahi Tark e Ulfat Par Woh Kion Kar Yaad Aatay Hein(Hasrat Mohani)

Image

Be-Pardah Nazar Aaein Jo Kal Chand Bebeyan AKBAR Zameen Mein Ghairat e Qoumi Se Gad Gaya

Image
  Be-Pardah Nazar Aaein Jo Kal Chand Bebeyan AKBAR Zameen Mein Ghairat e Qoumi Se Gad Gaya Poocha Jo Main Ne Aap Ka Pardah Woh Kia Hoa Kehnay Lagein Keh Aqal Pe Mardon Ke Pad Gaya

Mulaqaton Ka Kehtay Ho Mulaqatein Kahan Howein? Na Hum Jawein Hein Masjid Mein , Na Aap Aawein Hein Mai-Khana

Image
Mulaqaton Ka Kehtay Ho Mulaqatein Kahan Howein? Na Hum Jawein Hein Masjid Mein , Na Aap Aawein Hein Mai-Khana  

Aaqil Ko Aseeri Ke Taqazay Kahan Manzoor Nadaan Hi Hota Hai Giraftar e Muhabbat

Image
  عاقل کو اسیری کے تقاضے کہاں منظور نادان ہی ہوتا ہے گرفتارِ محبت Aaqil Ko Aseeri Ke Taqazay Kahan Manzoor Nadaan Hi Hota Hai Giraftar e Muhabbat

Dunya Se Be-Niaz Hoon Apni Hawa Mein Hoon Jab Tak Main Tere Dil Ki Muhabbat Sara Mein Hoon

Image
  غزل Ghazal   پروین شاکر Parveen Shakir دُنیا سے بے نیاز ہُوں، اپنی ہَوا میں ہُوں   جب تک میں تیرے دل کی مُحبّت سَرا میں ہُوں Dunya Se Be-Niaz Hoon Apni Hawa Mein Hoon Jab Tak Main Tere Dil Ki Muhabbat Sara Mein Hoon اِک تخت اور میرے برابر وہ شاہ زاد لگتا ہے آج رات میں شہرِ سَبا میں ہُوں Ik Takht Aur Mere Barabar Woh Shah-Zad Lagta Hai Aaj Raat Main Shehr e Saba Mein Hoon خُوشبو کو رقص کرتے ہُوئے دیکھنے لگی سحرِ بہار میں کہ طلسمِ صبا میں ہُوں Khusboo Ko Raqs Karte Hoe Dekhnay Lagi Sahar e Bahaar Mein Keh Talsm e Saba Mein Hoon ورنہ غبارِ ماہ بھی کب مُجھ کو چُھو سکا آہستہ رَو ہُوئی ہُوں کہ شہرِ نوا میں ہُوں Warna Ghubar e Maah Bhi Kab Mujh Ko Choo Saka Aahista Ro Hoi Hoon Keh Shehr e Nawa Mein Hoon جیسے کوئی عقب سے بُلاتا ہے بار بار بچپن سے اِک عجیب سرابِ صَدا میں ہُوں Jaise Koi Aqab Se Bulata Hai Bar Bar Bachpan Se Ik Ajeeb Saraab e Sada Mein Hoon  اِس دل کو جب سے غم کی ضمانت میں دے دیا اُس وقت سے کِسی کے حصارِ دُعا میں ہُوں Is Dil Ko Jab Se Gham Ki Zamanat Mein De Diya Us Waqt Se Ki

Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya Har Fikar Ko Dhouen Mein Udata Chala Gaya

Image

Hoorein Milingi Wahan Par , Kia Millaygi Tu? Main Tou Meri Jaan Teri Raah Dekhta Reh Jaounga

Image
  حوریں ملیں گی وہاں پر، کیا ملے گی تو ؟ میں تو میری جان تیری راہ دیکھتا رہ جاؤں گا Hoorein Milingi Wahan Par , Kia Millaygi Tu? Main Tou Meri Jaan Teri Raah Dekhta Reh Jaounga  

Is Qadar Bhi Tu Meri Jaan Na Tarsaya Kar Mil Ke Tanha Tu Galy Se Lag Jaya Kar

Image
  اس قدر بھی تو مری جان نہ ترسایا  کر مل کے تنہا تو گلے سے کبھی لگ جایا کر Is Qadar Bhi Tu Meri Jaan Na Tarsaya Kar Mil Ke Tanha Tu Galy Se Lag Jaya Kar  

Alfaz k jhootay bandhan main aakaash k gehray pardon main

Image
Alfaz k jhootay bandhan main aakaash k gehray pardon main har shakhs mohabat karta ha halan k mohabat,kuch bhi naheen sb jhootay rishtay naatay han sb dil rakhnay ki baaten han kb kaun kisi ka hota ha sb asli roop chupatay han akhlaq se khali log yehan lafzon k teer chalatay han ik bar nigahon main aa kar phir sari umar rulatay han hm khushboo k saudagar han aur sauda sacha krtay han jo gahak phoolon jesa ho hm bin damon bik jatay han hm shahr e wafa k logon ka tum haal bhalaa kia jano gay hm dil ki baat chupatay han hm aansoo tk pee jatay han HM KHUSHBOO K SAUDAGAR HAN AUR SAUDA SACHA KARTAY HAN

The wind is also happy There is a look even on the flowers

Image
The wind is also happy There is a look even on the flowers Tarannum-e-thousand is there Outside is full of spring Where is Sakia going? Come back here, come back here Hey, what does he see? Wake up Subu Subu Wake up Wake up Subu and fill the cup Fill the cup here Have a look at the garden Look at the evening, unaware Those black black changes I have come to Ufuk How is that one hujum-e-mai Oh God! I am not able to do anything. What is this mischief? Don't understand me Where is Khayal-e-Zohd now I am young right now There is a mention of worship Worried about salvation too Passion is of reward I think of a strange thing But listen Shaikh ji You are also a strange sleep Good morning and love Have we ever been separated Have a beautiful jalwa-raz Styles are Fitna-Khez May the winds be perfume-bez So why not have hobbies fast Nigar-Ha-e-Fitnagar Someone here and someone there Building up on the ash So what can someone do? Let's go Kissa-Mukhtsar Your look at the sight If it is cor

Saleeqe se hawaaon mein jo khushbu ghol sakte hain Abhi kuch log baaqi hain jo Urdu bol sakte hain

Saleeqe se hawaaon mein jo khushbu ghol sakte hain Abhi kuch log baaqi hain jo Urdu bol sakte hain

Falak Mein Aag Lag Jati Jo Donon Ro Ba Ro Hote Gharoob e Shams Lazim Tha Tuloo e Chand Se Pehle

Image
  Falak Mein Aag Lag Jati Jo Donon Ro Ba Ro Hote Gharoob e Shams Lazim Tha Tuloo e Chand Se Pehle  

Suno ahat nahi karna Abhi...hi dard soya hai

Image
Suno ahat nahi karna Abhi...hi dard soya hai  

Tha bahut khush jo bhula ke mujh ko Aaj roya galay laga ke mujh ko

Image
Tha bahut khush jo bhula ke mujh ko Aaj roya galay laga ke mujh ko Uss ne pehla sawaal yeh poocha “Tum ko kaisa laga ganwa ke mujh ko Zindagi ne to aazmaaya hai Dekh lo tum bhi aazma ke mujh ko Uss ne raasta badal liya apna Pyar ki raah par chala ke mujh ko De gaya umer bhar ke aansoon Jo Kabhi hansta tha hansa ke mujh ko Ajeeb shakhs tha, jaate hue woh Khud bhi roya bahut rula ke mujh ko Mujh ko patthar bana ke kehta hai Jaan, dekho na muskura ke mujh ko  

Lashkar ko bachaayengi yeh do char safen kya In mein bhi har ek shaksh yeh kehta hai hame kya

Image
Lashkar ko bachaayengi yeh do char safen kya In mein bhi har ek shaksh yeh kehta hai hame kya

Wohi shakhs merey lashkar se baghaawat kar gya Jeet kar saltanat jis ke naam karni thi

Image
  वही शख्स मेरे लश्कर से बगावत कर गया जीत कर सल्तनत जिसके नाम करनी थी Wohi shakhs merey lashkar se baghaawat  kar gya Jeet kar saltanat jis ke naam karni thi

Apnay honay ka kuch ehsaas na honay se hua Khud se milna mera ek shakhs ka khonay se hua

Image
Apnay honay ka kuch ehsaas na honay se hua Khud se milna mera ek shakhs ka khonay se hua Musawwir Sabzwari

Kabhi to chaunk ke dekhay koi humhari taraf Kisi ki aankh mein hum ko bhi intezaar dikhay

Image
Kabhi  to chaunk ke dekhay koi humhari taraf Kisi ki aankh mein hum ko bhi intezaar dikhay Gulzar  

Laakh Chuptay Phirein Harfon Mein Simat'tay Jaein Shair Aftad Hein Ud Ud Ke Lipat'tay Jaein

Image
  لاکھ چھپتے پھریں حرفوں میں سمٹتے جائیں شعر افتاد ہیں اڑ اڑ کے لپٹتے جائیں लाख छुपते फिरें हर्फ़ों में सिमटते जाएँ शे'र उफ़्ताद हैं उड़ उड़ के लिपटते जाएँ Laakh Chuptay Phirein Harfon Mein Simat'tay Jaein Shair Aftad Hein Ud Ud Ke Lipat'tay Jaein 🔥 شعلۂ دل تو جلائے گا ہمیں یوں کب تک تیری مرضی ہے سر حشر دہکتے جائیں शो'ला-ए-दिल तू जलाएगा हमें कब तक तेरी मर्ज़ी है सर-ए-हश्र दहकते जाएँ Shoula e Dil Tou Jalaye Ga Humain Yun Kab Tak Teri Marzi Hai Sar e Hashar Dhaktay Jaein  

Jab se wo aankh hai khafa hum se Yoon lage hai khafa hai mai-khana

Image
  جب سے وہ آنکھ ہے خفا ہم سے یوں لگے ہے خفا ہے میخانہ Jab se wo aankh hai khafa hum se Yoon lage hai khafa hai mai-khana  

Hota Gar Samandar Tu Umeed e Hayat Rehti Doob Raha Hoon Teri Aankhon Mein Khuda Khair Kare

Image
  ہوتا گر سمندرتو امیدِ حیات رہتی ڈوب رہا ہوں تیری آنکھوں میں خدا خیر کرے होता गर समंदर तो उम्मीद ए हयात रहती डूब रहा हुं तेरी आंखों में खुदा खैर करे Hota Gar Samandar Tu Umeed e Hayat Rehti Doob Raha Hoon Teri Aankhon Mein Khuda Khair Kare If the sea is there You would have been the hope of life If there was an ocean So hope would have remained in life I am drowning in your eyes May God bless I am drowning in your eyes May God have mercy

Kuch zulm o sitam sehnay ki aadat bhi hai hum ko Kuch yeh hai ki darbaar mein sunwaayee bhi kam hai

Image
Kuch zulm o sitam sehnay ki aadat bhi hai hum ko Kuch yeh hai ki darbaar mein sunwaayee bhi kam hai  

Meri Be-Basi Ka Aalam Tere "KUN" Ka Muntazir Hai Mere Mehruban Dekha Day "FAYAKON" Ka Nazarah

Image
Meri Be-Basi Ka Aalam Tere "KUN" Ka Muntazir Hai Mere Mehruban Dekha Day "FAYAKON" Ka Nazarah

Gul Az Rakht Aamokhta Nazuk Badani Ra ,Badani Ra ,Badani Ra Gulab Ne Aapke Chehre Se Nazakat Ka Dars Lia Hai

  کلام مولانا جلالدین رومی Kalam:Molana Jalaludeen Romi   Gul Az Rakht Aamokhta Nazuk Badani Ra ,Badani Ra ,Badani Ra Gulab Ne Aapke Chehre Se Nazakat Ka Dars Lia Hai Bulbul Zato Aamokhta Shereen Sukhani Ra ,Sukhani Ra ,Sukhani Ra Bulbul Ne Apni Zubaan Ki Mithas Aap Se Seekhi Har Kas Keh Lab e La'al Tera Deedah Ba Dil Guft Jis Ne Bhi Aap Ke Surkh Hont Dekhay Tou Dil Se Kaha Haqa Keh Che Khush Kundah Aqeeq e Yamani Ra ,Yamani Ra ,Yamani Ra Beshak Is Yamani Aqeeq Ko Buhat Hi Khobsorati Se Tarasha Gaya Hai Yamani Aqeeq: Aik Surkh Rang Ka Qeemti Pathar Khayat Azal Dokhta Bar Qaamat e Zaiba Azal Ke Darzi Yani ALLAH Ne Aap Ke Khobsorat Qad Par Dar Qad Tu Ein Jamah e Saro e Chamani Ra , Chamani Ra ,Chamani Ra Bagh Ke Saro Ka Libas Siyah Hai Saro: Aik Seedah Makhroti Khush-Numa Darakht Az JAMI e Bechara Rasaned Salamay Be-Chare Jami Ki Taraf Se Salam Pahoncha Do Bar Dargah e Darbar e Rasool e Madani Ra , Madani Ra , Madani Ra Rasool e Madani Ke Darbar Ke Huzoor

Mere Kanon Mein Misri Gholta Hai Koi Bacha Jab Urdu Bolta Hai

Image
  URDU ZUBAN KE HAWALAY BEHTAREEN ASHA'AR Keh Do Keh Na Shikwah Lab e Maghmoom Se Niklay Urdu Ka Janaza Hai Zara Dhoom Se Niklay (Raees Amrohvi) Apne Mahboob Ki Khatir Tha Khuda Ko Manzoor Warna Quran Bhi Utarta Zuban e Urdu (Akbar Ilah Abadi) Aankhein Unki Urdu Zuban Goya Jaise MEER O GHALIB Ka Deewan Goya (Fozia Mughal) Mere Kanon Mein Misri Gholta Hai Koi Bacha Jab Urdu Bolta Hai (Mushtaq Darbhangvi)

Badi Hi Mukhtasar Hai Zindagi Dekho Muhabbatein Udhar Na Karna

Image
Badi Hi Mukhtasar Hai Zindagi Dekho Muhabbatein Udhar Na Karna  

Wirasat Mein Mili Hai Sad Shukar Kar Qadar Kar Mian URDU Zubaan Ki

Image
  وراثت میں ملی ہے صد شکر کر قدر کر تو میاں اردو زباں کی غلام علی آسی Wirasat Mein Mili Hai Sad Shukar Kar Qadar Kar Mian URDU Zubaan Ki Ghulam Ali Aasi  

Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi Kuch Mujhe Bhi Kharaab Hona Tha

Image
  کچھ تمہاری نگاہ کافر تھی کچھ مجھے بھی خراب ہونا تھا اسرارالحق Kuch Tumhari Nigaah Kafir Thi Kuch Mujhe Bhi Kharaab Hona Tha Israrulhaq

Mere Dil Ke Sabhi Mousam Usi Pe Ja Ke Khultay Thay Main Aadhi Baat Karti Thi Woh Pori Jan Laita Tha

Image
  میرے دل کے سبھی موسم اُسی پہ جا کے کُھلتے تھے میں آدھی بات کرتی تھی وہ پوری جان لیتا تھا اگرچہ متفّق ہوتا نہیں تھا وہ ذرا سا بھی ذرا سی بحث کرتا تھا مگر پھر مان لیتا تھا حسیں انداز سے پڑھتا تھا وہ گلزار کی نظمیں وہ جیسےریت میں سے ہیرے موتی چھان لیتا تھا میں لفظوں کا لبادہ اوڑھ لیتی تھی مگر پھر بھی مجھے وہ بِھیڑ میں بھی دُور سے پہچان لیتا تھا۔ بَرستی تیز بارش میں بھی وہ آجاتا تھا مِلنے جو اُسکے دل میں آتی تھی تو پھر وہ ٹھان لیتا تھا کبھی سَرگوشیوں میں میں دھیمی دھیمی گفتگو کرتا کبھی خاموشیوں کی سَرد چادر تَان لیتا تھا کبھی خود سر کبھی ضدی مگر اک بات اچھی تھی میرے لکھے ہوئے لفظوں کو وہ بھی مان دیتا تھا میرے ہاتھوں پہ اپنے ہاتھ رکھ دیتا تھا دانستہ پھر اپنی مُسکراہٹ سے وہ میری جان لیتا تھا

Apne Seene Se Lagaye Huye Umeed Ki Laash Muddaton Zist Ko Nashad Kiya Hai Maine

Image

Mana Du Plaar Da Yawa Khabara Na Hereegi Che Be-Pukhto Shi Du Rorai Di ALLAH Bekh Obasi

Mana Du Plaar Da Yawa Khabara Na Hereegi Che Be-Pukhto Shi Du Rorai Di ALLAH Bekh Obasi Du De Zrru Chavde Ao Zindagai De ALLAH Bekh Obasi Shom Lewanay Du Judaaye Di ALLAH Bekh Obasi Yawa Lahza Mo Pu Araam Du De Na Tera Na Krra Rok Ye Sha Nom Du Dushmanai Di ALLAH Bekh Obasi Du De Zrru Chavde Ao Zindagai De ALLAH Bekh Obasi Shom Lewanay Du Judaaye Di ALLAH Bekh Obasi

Qasid Tu Iss Faraib Se Khat "Un" Ko Dejio Sahib Ye Kis Ka Khat Hai ? Zara Parh Tou Dejio

Image
  قاصد تو اس فریب سےخط " ان" کو دیجیو صاحب یہ کس کا خط ہے ؟ ذرا پڑھ تو دیجیو Qasid Tu Iss Faraib Se Khat "Un" Ko Dejio Sahib Ye Kis Ka Khat Hai ? Zara Parh Tou Dejio

Mujh pe tari hai rah, Ashaq ke aasodda thakan Tujh pe kiya guzre mere chaand bata kyon chup hai

Image
  مجھ پہ طاری ہے راہ ِ عشق کی آسودہ تھکن تجھ پہ کیا گزری مرے چاند بتا کیوں چُپ ہے Mujh pe tare hai rah, Ashaq ke aasodda thakan Tujh pe kiya guzre mere chaand bata kyon chup hai