Alfaz k jhootay bandhan main aakaash k gehray pardon main



Alfaz k jhootay bandhan main
aakaash k gehray pardon main
har shakhs mohabat karta ha
halan k mohabat,kuch bhi naheen
sb jhootay rishtay naatay han
sb dil rakhnay ki baaten han
kb kaun kisi ka hota ha
sb asli roop chupatay han
akhlaq se khali log yehan
lafzon k teer chalatay han
ik bar nigahon main aa kar
phir sari umar rulatay han
hm khushboo k saudagar han
aur sauda sacha krtay han
jo gahak phoolon jesa ho
hm bin damon bik jatay han
hm shahr e wafa k logon ka
tum haal bhalaa kia jano gay
hm dil ki baat chupatay han
hm aansoo tk pee jatay han
HM KHUSHBOO K SAUDAGAR HAN
AUR SAUDA SACHA KARTAY HAN


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo