Safar e wafa ki rah main, manzil jafa ki thi Kaghaz k ghar bnaa k bhi, khahish hawa ki thi
Safar e wafa ki rah main, manzil jafa ki thi
Kaghaz k ghar bnaa k bhi, khahish hawa ki thi
Thi jugnuon k shaher main, taron se dushmani
Mashooq chaand tha, aur tamana subah ki thi
Tum ne to ibadat ka, tamasha bnaa dia
Chahat namaz ki thi, par aadat qaza ki thi
Man ne to zindagi ko, teray naam likha tha
Shaed magar, kuch aur hi marzi khuda ki thi
Dard hi dena tha, to pahlay btaa detay
Hm ko bhi azal se hi tamana, saza ki thi
Comments
Post a Comment