Us ne mere haath men bandha ujla kangan bele ka



Parveen Shakir ki khobsurat nazam
Us ne mere haath men bandha
ujla kangan bele ka
pahle pyaar se thami kalai
baad is ke haule haule pahnaya
gahna phoolon ka
phir jhuk kar haath ko choom liya
phool to aḳhir phool hi the
murjha hi gae
lekin meri ratain un ki ḳhushbo se ab tak roshan hai
bahoon par wo lams abhi tak taaza hai
shaḳh-e-sanobar par ik chand damakta hai
phool ka gahna
prem ka kangan
pyaar ka bandhan
ab tak meri yaad ke haath se lipta hua hai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo