Tu Ne Daikha Hai , Kabhi Ik Nazar Shaam Ke Ba'ad Kitne Chup Chaap Se Lagte Hain Shaam Ke Ba'ad



SHAAM KE BA'AD

Tu Ne Daikha Hai , Kabhi Ik Nazar Shaam Ke Ba'ad

Kitne Chup Chaap Se Lagte Hain Shaam Ke Ba'ad

Itne Chup Chaap Keh Raste Bhi Raheingy La-Ilam

Chod Jaeingy Kisi Roz Nagar Shaam Ke Ba'ad

Main Ne Aisa Hi Gunah Teri Judaai Mein Kia

Jaise Toofan Mein Koi Chod Dy Ghar Shaam Ke Ba'ad

Shaam Se Pehle Woh Mast Apni Udanon Mein Raha

Jis Ke Haathon Mein Thay Toote Hoe Par Shaam Ke Ba'ad

Raat Beeti Tou Ginay Aablay Aur Phir Socha

Kon Tha Ba'aes Aaghaz Safar Shaam Ke Ba'ad

Tu Hai Soraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh

Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Aa Kar Shaam Ke Ba'ad

Laot Aaye Na Kisi Roz Woh Aawaarah Mizaj

Khol Rakhte Hein Isi Aas Peh Dar Shaam Ke Ba'ad

Farhat Abas Shah


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo