Rahe gi dastan baqi hai jab tak ye jahan baqi Kahin baqi hain qissa go, kahin hain razdan baqi
رہے گی داستاں باقی، ہے جب تک یہ جہاں باقی
کہیں باقی ہیں قصہ گو کہیں ہیں رازداں باقی
فریب وعدۂ فردا بہت ہی عارضی شے ہے
رہیں گے عمر بھر اس دل پہ چوٹوں کے نشاں باقی
گلہ تو کر نہ اپنی آبلہ پائی کا __ رو رو کر
ہزاروں راستے باقی، ہزاروں کارواں باقی
ابھی سے اس طرح ہانیؔ نہ بیٹھو مطمئن ہو کر
ابھی تو اور بھی دشوار تر ہیں امتحاں باقی
رخسانہ نکہت لاری ام ہانی
Rahe gi dastan baqi hai jab tak ye jahan baqi
Kahin baqi hain qissa go, kahin hain razdan baqi
Fareb e wada e farda bohat hi aarzi shai hai
Rahen ge umr bhar is dil pe choaton ke nishan baqi
Gila to kar na apni abla paiy ka ro ro kar
Hazaron raaste baqi, hazaron karavan baqi
Abhi se is tarah Hani na baitho mutma’in ho kar
Abhi to aur bhi dushwar tar hain imtihan baqi
Rukhsana Nikhat Lari Umme Hani
Comments
Post a Comment