Phir sawan rut ki pawan chali tum yad aaye
Poet Nasir Kazmi Phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye phir patton ki pazeb baji tum yad aye phir kunjen bolin ghas k hare samandar main rut ai pile phulon ki tum yad aye phir kaga bola ghar k sune angan main phir amrat ras ki bund pari tum yad aye pahle to main chikh k roya aur phir hansne laga badal garja bijli chamaki tum yad aye din bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha jab diwaron se dhup dhali tum yad aye.......! (WO-HUMSAFAR)