Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

 

Poet Unkown

 

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho,

Hum Ghoom Chuke Basti Bun Mein,

Aik Ki Phansi Liye Man Mein,

Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho,

Koi Deepak Ho Koi Tara Ho,

Jab Jeewan Rat Andheri Ho,

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho,

Jab Sawan Badal Chaye Hon,

Jab Phagan Phool Khilaye Hon,

Jab Chanda Roop Lutata Ho,

Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho,

Ya Sham Ne Basti Ghari Ho,

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho,

Han Dil Ka Daman Phaila Ho,

Kion Gori Ka Dil Mela Ho,

Hum Kab Tak Peet K Dhoke Mein,

Tum Kab Tak Do Jharoke Mein,

Kab Dair Se Dil Ko Sairi Ho,

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho,

Kia Jhagra Sood Khasare Ka,

Ye Kaam Nahi Banjare Ka,

Sab Sona Ropa Le Jaye,

Sab Dunia Dunia Le Jaye,

Tum Aik Mujhe Behteri Ho,

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho........!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai