Be Sabab Udasi Thi Ab K Us K Chehre Par

 

 

 Be Sabab Udasi Thi Ab K Us K Chehre Par,

Dukh Tha Be Hawasi Thi

Ab K Youn Mila Mujh Se,

Youn Ghazal Suni Jaise

Main Bhi Na Shanasa Hon,

Wo Bhi Ajnabi Jaise Zard Khal-o-Khud Us K,

Sogwaar Daman Tha Ab K Us K Lehje Mein,

Kitna Khud Dara Pan Tha

Wo K Umar Bhar Jis Ne,

Shehr Bhar K Logo Mein

Mujh Ko Hum Sukhan Jana,

Khud Se Meharbaan Samjha,

Mujh Ko Dil Ruba Likha Ab K Sada Kahgaz Par,

Surkh Roshnai Se Us Ne Talkh Lehje Mein,

Mere Naam Se Pehle

Sirf Bewafa Likha...........!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay