Dil-e-Nadan Tujhe Howa Kia Hai

 

Poet Mirza Ghalib

 

Dil-e-Nadan Tujhe Howa Kia Hai,

Akhir Is Dard Ki Dawa Kia Hai,

Hum Hain Mushtaq Aur Wo Bezaar,

Ya Elahi Ye Majra Kia Hai,

Main Bhi Moonh Mein Zaban Rakhta Hon,

Kash Poocho K Mudda Kia Hai,

Jab K Tum Bin Nahi Koi Mojood,

Phir Ye Hungama Aye Khuda Kia Hai?

Ye Pari Chehra Log Kaise Hain,

Gham-o-Aswah Ada Kia Hai,

Shikan-e-Zulaf Ambareen Kon Hai,

Nigah Chashm Surma Sa Kia Hai,

Sabza-o-Gul Kahan Se Aay Hain,

Abar Kia Cheez Hai Hawaa Kia Hai,

Hum Ko Hai Un Se Wafa Ki Umeed,

Jo Nahi Jante Wafa Kia Hai,

Haan Bhula Kar Tera Bhala Ho Ga,

Aur Darwaish Ki Sadaa Kia Hai,

Jan Tum Pe Nisar Karta Hon,

Main Nahi Janta Dua Kia Hai,

Main Ne Mana K Kuch Nahi,

GHALIB

Muft Hath Aay To Bura Kia Hai..............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha