Hum Thehre Ajnabi Itni Mulaqaton K Bad

 

Poet Faiz Ahmad Faiz

 

Hum Thehre Ajnabi Itni Mulaqaton K Bad,

Phir Bane Gay Aashna Kitni Mudaton K Bad,

Kab Nazar Mein Aaye Gi Bedagh Sabzay Ki Bahar,

Khoon K Dhabe Dho lain Ge Kitni Barsaton K Bad,

Thay Bahut Bedard Lamhe,

Khatam-E-Dard-E-Ishq K

Thi Bahut Bemher Subhain,

Mehrban Raton K Bad,

Dil To Chaha Par Shikast-E-Dil Ne Mohlat Hi Na Di,

Kuch Gile Hain Shikwe Bhi Kar Lete Manajaton K Bad,

Un Se Jo Kehne Gaye Thay Faiz Jan Sadqa Kiye,

An Kahi Hi Reh Gai Wo Bat Sab Baton K Bad.............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai