Jaise Kisi Dewar Ko Dar Chorna Parr Jaye

 

Poetess

Rehana Qamar

Jaise Kisi Dewar Ko Dar Chorna Parr Jaye.

Kaise Use Choron Gi Agr Chorna Parr Jaye.

Us Dasht E Tamana Main Zarori Nahi Koi.

Kia Jane Kab Kon Kidhar Chorna Par Jaye.

Ek Tu Hi Zarori Hai Musafat K Liye Dost.

Tujh Ko Bhi Na Doran E Safar Chorna Parr Jaye.

Kab Jane Us Dil Se Nikal Jain Tamanain.

Kab Jane Chiryon Ko Shajar Chorna Parr Jaye.

Us Shakhs Ko Choro Mujhe Tum Itna Batao.

Tum Chand Ko Choro Ge Agar Chorna Parr Jaye.

Mumkin Hai Kisi Waqt Palat Jao Qamar Main.

Mumkin Hai Kisi Waqt Safar Chorna Parr Jaye.

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai