Main Thak Gia Hon Meri Palkon Pe

 

Poet Wasi Shah

 

Main Thak Gia Hon Meri Palkon Pe,

Ab Tak Kuch Adhoore Khawaab Jalte Hain,

Meri Neendon Mein Tere Wasl Ka Raisham Ulajhta Hai,

Mere Aanso Mere Chehre Pe Tere Gham Ko Likhte Hain,

Mere Andar Kai Sadion K Sannaton Ka Daira Hai,

Mere Alfaz Bahain Wa Kia Mujh Ko Bulate Hain,

Mager Main Thak Gia Hon

Aur Main Ne,

Khamoshi Ki Goud Mein Sar Rakh Dia Hai,

Main Balon Mein Tumhare Hijar Ki Narm,

Unglian Mehsoos Karta Hon,

Meri Palkon Pe Jalte Khawab Hain,

Ab Raakh Ki Sorat Tumhare Wasl Ka,

Raisham Bhi Ab Neendain Nahi Bunta,

Meri Aankhon Mein Jaise Ther K Mosam Ka Basaira Hai,

Mujhe Andar K Sanaton Mein Gehri Neend Aai Hai,

Suno!

Is Yad Se Keh Do Mujhe Kuch Dair Sone De............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai