Phira Hon Sare Zamane Mein Dar Badar Kaise

 

Poet Mohsin Naqvi

 

Phira Hon Sare Zamane Mein Dar Badar Kaise,

Main Tere Bad Bhi Zinda Raha Magar Kaise?

Wo Janta Hai K Kuch Roz Wo Nahi Tha,

To Main Pukarta Raha Us Ko Idhar Udhar Kaise,

Main Jis K Hijar Mein Roya Hon Paglon Ki Tarah,

Wo Kal Mila To Hansa Mere Haal Par Kaise,

Aziz Tar Thi Jise Neend Sham-e-Vasl Mein Bhi,

Wo Tere Hijar Mein Jaga Hai Umar Bhar Kaise,

Kahan Ki Dosti Kaisa Firaq Kon,

M O H S I N

Main Khud Ko Bhool Gia Tujh Ko Bhool Kar Kaise............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai