Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi

 

Poet Nasir Kazmi

 

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi,

Barham Hoi Hai Youn Bhi Tabiat Kabhi Kabhi,

Ay Dil Kise Naseeb Ye Tofeeq-e-Iztirab,

Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi,

Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen,

Dil Ban Gia Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi,

Dil Ko Kahan Naseeb Ye Tofeeq-e-Iztirab,

Milti Hai Zindagi Mein Ye Rahat Kabhi Kabhi,

Josh-e-Janoon Mein Dard Ki Tughyanion K Sath,

Ashkon Mein Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi,

Tere Qareeb Reh K Bhi Dil Mutmain Na Tha,

Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi,

Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha,

Youn Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi,

Ay Dost Hum Ne Tark-e-Mohabbat K Bawajood,

Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi.............!

 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai