Waqt-E-Rukhsat Kahein Taare Kahein Jugno Aaye

 

Poet Sagar Siddiuqi

 

Waqt-E-Rukhsat Kahein Taare Kahein Jugno Aaye,

Haar Pehnane Mujhe Phool Se Bazo Aaye,

Bas Gai Hai Mere Ehsas Mein Ye Kaisi Mehak,

Koi Khushbo Main Lagaon Teri Khushbo Aaye,

Main Ne Din Rat Khuda Se Ye Dua Mangi Thi,

Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Too Aaye,

Us Ki Batain K Gul-O-Lala Pe Shabnam Barse,

Sab Ko Apnane Ka Us Shokh Ko Jado Aaye,

Us Ne Choo Kar Mujhe Pathar Se Phir Insan Kia,

Mudaton Baad Meri Aankh Mein Aanso Aaye............!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai