Wo Batain Teri Wo Fasane Tere

 

Poet Abdul Hameed Adam

 

Wo Batain Teri Wo Fasane Tere,

Shagufta Shagufta Bahane Tere,

Bas Ek Zakham Nazara Hisa Mera,

Baharain Teri Aashiane Tere,

Bas Ek Dagh-E-Sajda Meri Kainat,

Jabeenain Teri Aastane Tere,

Zameer-E-Sadaf Mein Kiran Ka Maqam,

Anokhe Anokhe Thikane Tere,

Faqeeron Ka Jamaghat Ghari Do Ghari,

Sharabain Teri Bharakane Tere,

Bahar-O-Khizan Kam Nigahon K Weham,

Bure Ya Bhale Sab Zamane Tere,

ADAM Bhi Hai Tera Hakayat Kada,

Kahan Tak Gaye Hain Fasane Tere....................!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai